cheque
aaj tanḳhvāh kā cheque milā
lamha-bhar mere chehre pe ḳhushiyoñ kī kirneñ bikharne lagīñ
phone kī ghanTiyoñ ne añdhere meñ badlā samāñ
maiñ udāsī ke sahrā meñ pal-bhar ko ḳheme meñ tanhā rahā
yak-dam apne palaTne pe ummīd ne
ik sahārā diyā Thiik hai
Thiik hai qarz denā hai jin jin kā de dūñgā maiñ
shukr hai
mujh se shikva na koī karegā yahāñ
ai mirī zindagī
qarz mujh par haiñ tere bahut
kaun sā cheque milegā mujhe
maiñ utārūñgā qarze sabhī
aaj tanKHwah ka cheque mila
lamha-bhar mere chehre pe KHushiyon ki kirnen bikharne lagin
phone ki ghanTiyon ne andhere mein badla saman
main udasi ke sahra mein pal-bhar ko KHeme mein tanha raha
yak-dam apne palaTne pe ummid ne
ek sahaara diya Thik hai
Thik hai qarz dena hai jin jin ka de dunga main
shukr hai
mujh se shikwa na koi karega yahan
ai meri zindagi
qarz mujh par hain tere bahut
kaun sa cheque milega mujhe
main utarunga qarze sabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.