chhabbis january
aaj phir hai hameñ ḳhushī ai dost
aa.ī chhabbīs january ai dost
ya.anī tārīḳh vo ki jab bhārat
pā gayā apnī gum-shuda daulat
ham zamāne meñ bāryāb hue
apne maqsad meñ kāmyāb hue
āḳhir ham ne badal liiñ taqdīreñ
toḌ kar bandagī kī zanjīreñ
apnī koshish se bahra-mand hue
saarī duniyā meñ sar-buland hue
ḳhush hue shaad kahe jaane lage
ham bhī āzād kahe jaane lage
mulk meñ aayā daur-e-jamhūrī
ho ga.ī duur saarī majbūrī
jo na kar paa.e aaj karne lage
ham hī mil-jul ke raaj karne lage
kahūñ kyā apne rahbaroñ kī baat
din ko din samjhe vo na raat ko raat
jo bhī kar sakte the vo kar ke rahe
kyoñ muqaddar na phir sañvar ke rahe
ham ko āzādī aaj hai hāsil
ab hai ham sab pe farz ai 'ādil'
us kī azmat sadā rahe malhūz
har tarah ham rakheñ ise mahfūz
is pe koī bhī aañch aane na paa.e
jaan jaa.e magar ye jaane na paa.e
aaj phir hai hamein KHushi ai dost
aai chhabbis january ai dost
yani tariKH wo ki jab bhaarat
pa gaya apni gum-shuda daulat
hum zamane mein baryab hue
apne maqsad mein kaamyab hue
aaKHir hum ne badal lin taqdiren
toD kar bandagi ki zanjiren
apni koshish se bahra-mand hue
sari duniya mein sar-buland hue
KHush hue shad kahe jaane lage
hum bhi aazad kahe jaane lage
mulk mein aaya daur-e-jamhuri
ho gai dur sari majburi
jo na kar pae aaj karne lage
hum hi mil-jul ke raj karne lage
kahun kya apne rahbaron ki baat
din ko din samjhe wo na raat ko raat
jo bhi kar sakte the wo kar ke rahe
kyon muqaddar na phir sanwar ke rahe
hum ko aazadi aaj hai hasil
ab hai hum sab pe farz ai 'adil'
us ki azmat sada rahe malhuz
har tarah hum rakhen ise mahfuz
is pe koi bhi aanch aane na pae
jaan jae magar ye jaane na pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.