chhabbis january
gulshan meñ rut na.ī hai
har samt be-ḳhudī hai
har gul pe tāzgī hai
masrūr zindagī hai
sar-chashma-e-ḳhushī hai
chhabbīs january hai
har sū ḳhushī hai chhā.ī
sab ne murād paa.ī
phir january ye aa.ī
yaum-e-surūr laa.ī
saa.at murād kī hai
chhabbīs january hai
āñkhoñ meñ rañg-e-nau hai
bātil se jañg-e-nau hai
saaz aur chañg-e-nau hai
har dar pe sañg-e-nau hai
pur kaif zindagī hai
chhabbīs january hai
maiñ gungunā rahā huuñ
mastī meñ gā rahā huuñ
ḳhushiyāñ manā rahā huuñ
aalam pe chhā rahā huuñ
dil mahv-e-be-ḳhudī hai
chhabbīs january hai
hindostān ḳhush hai
har pāsbān ḳhush hai
har nau-javān ḳhush hai
saarā jahān ḳhush hai
ek josh-e-sarmadī hai
chhabbīs january hai
gulshan mein rut nai hai
har samt be-KHudi hai
har gul pe tazgi hai
masrur zindagi hai
sar-chashma-e-KHushi hai
chhabbis january hai
har su KHushi hai chhai
sab ne murad pai
phir january ye aai
yaum-e-surur lai
saat murad ki hai
chhabbis january hai
aankhon mein rang-e-nau hai
baatil se jang-e-nau hai
saz aur chang-e-nau hai
har dar pe sang-e-nau hai
pur kaif zindagi hai
chhabbis january hai
main gunguna raha hun
masti mein ga raha hun
KHushiyan mana raha hun
aalam pe chha raha hun
dil mahw-e-be-KHudi hai
chhabbis january hai
hindostan KHush hai
har pasban KHush hai
har nau-jawan KHush hai
sara jahan KHush hai
ek josh-e-sarmadi hai
chhabbis january hai
- Book : Mizraab (Kulliyat) (Pg. 69)
- Author : Prof. Ibne Kanwal
- Publication : Kitabi Duniya, Delhi (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.