Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhabbis january

Nazeer Banarasi

chhabbis january

Nazeer Banarasi

MORE BYNazeer Banarasi

    ai shāñtī ahinsā uḌtī huī parī

    aa bhī aa ki aa ga.ī chhabbīs january

    sar par basant ghaas zamīñ par harī harī

    phūloñ se Daalī Daalī chaman bharī bharī

    aa.ī na to sab sunūñgā kharī kharī

    tujh bin udaas hai mirī khetī harī-bharī

    aa jald aa ki aa ga.ī chhabbīs january

    ghūñghaT ulaT rahī hai chaman kalī kalī

    shāḳheñ to teḌhī-meḌhī haiñ sūrat bhalī bhalī

    rañgīniyāñ haiñ baaġh meñ ḳhushbū galī galī

    shabnam se hai kalī piyālī bharī bharī

    aa bhī aa ki aa ga.ī chhabbīs january

    muskā rahī hai mujh pe mire baaġh kalī

    āñkheñ dikhā rahī hai mujhe kal chhokrī

    aisā na ho ki phuul uḌā.eñ mirī hañsī

    ab tairne lagī mirī āñkhoñ meñ jal-parī

    aa jald aa ki aa ga.ī chhabbīs january

    kāñTe hoñ chāhe phuul hoñ fasl-e-bahār ke

    paale haiñ donoñ ek parvardigār ke

    ham bhārtī shikār haiñ apne vaar ke

    ai shāñtī ahinsā uḌtī huī parī

    dhartī pe aa ki aa ga.ī chhabbīs january

    ai shanti ahinsa ki uDti hui pari

    aa tu bhi aa ki aa gai chhabbis january

    sar par basant ghas zamin par hari hari

    phulon se Dali Dali chaman ki bhari bhari

    aai na tu to sab ki sununga khari khari

    tujh bin udas hai meri kheti hari-bhari

    aa jald aa ki aa gai chhabbis january

    ghunghaT ulaT rahi hai chaman ki kali kali

    shaKHen to teDhi-meDhi hain surat bhali bhali

    ranginiyan hain bagh mein KHushbu gali gali

    shabnam se hai kali ki piyali bhari bhari

    aa tu bhi aa ki aa gai chhabbis january

    muska rahi hai mujh pe mere bagh ki kali

    aankhen dikha rahi hai mujhe kal ki chhokri

    aisa na ho ki phul uDaen meri hansi

    ab tairne lagi meri aankhon mein jal-pari

    aa jald aa ki aa gai chhabbis january

    kanTe hon chahe phul hon fasl-e-bahaar ke

    pale hain donon ek hi parwardigar ke

    hum bhaarti shikar hain apne hi war ke

    ai shanti ahinsa ki uDti hui pari

    dharti pe aa ki aa gai chhabbis january

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Nazeer Banarasi (Pg. 325)
    • Author : Nazir Husain Khan
    • Publication : Educational Publishing House, Delhi (2014)
    • Edition : 2014

    Tagged Under

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now