chhachhundar
leTiye gar aap nañge taḳht par
riiḌh kī haDDī ko hogā fā.eda
ek muddat se yahī hai qā.eda
lekin is yug kā tarīqa aur hai
baat zer-e-ġhaur hai
taḳht par leTeñ to aa jaatā hai dast
is liye sab log Dhīlī chārpā.ī par haiñ mast
saḳhtiyāñ bardāsht kar paate nahīñ
jī nahīñ paate haiñ
mar paate nahīñ
zindagānī saañp ke muñh kī chhachhūñdar ho ga.ī
leTiye gar aap nange taKHt par
riDh ki haDDi ko hoga faeda
ek muddat se yahi hai qaeda
lekin is yug ka tariqa aur hai
baat zer-e-ghaur hai
taKHt par leTen to aa jata hai dast
is liye sab log Dhili chaarpai par hain mast
saKHtiyan bardasht kar pate nahin
ji nahin pate hain
mar pate nahin
zindagani sanp ke munh ki chhachhundar ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.