chhajon barasti barish ke baad
rifāqat ke nashe meñ jhūmte
do sabz pattoñ ne
bahut āhista se taalī bajā.ī
aur kahā
dekho'' hasan-abbās!
itnī ḳhūb-sūrat rut meñ
koī is tarah tanhā bhī hotā hai
jo tum is taur tanhā ho''!?
ye kah kar donoñ ik duuje se yuuñ lipTe
ki jaise ek din tū mujh se lipTī thī
usī lamhe
mire hoñToñ pe terā shahd-āgīñ
lams jaag uTThā
aur us gum-gashta nashshe ko maiñ hoñToñ par sajā.e
apne kamre meñ chalā aayā
ki daftar kā bahut sā kaam baaqī thā
rifaqat ke nashe mein jhumte
do sabz patton ne
bahut aahista se tali bajai
aur kaha
dekho hasan-abbas!
itni KHub-surat rut mein
koi is tarah tanha bhi hota hai
jo tum is taur tanha ho!?
ye kah kar donon ek duje se yun lipTe
ki jaise ek din tu mujh se lipTi thi
usi lamhe
mere honTon pe tera shahd-agin
lams jag uTTha
aur us gum-gashta nashshe ko main honTon par sajae
apne kamre mein chala aaya
ki daftar ka bahut sa kaam baqi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.