chhaTa aadmi
ye mirā shahr hai
ḳhūb-sūrat hasīñ
chāndnī kā nagar dhuup kī sarzamīñ
shahr ke roz o shab merī āñkheñ
jis tarah putliyāñ aur safedī
maiñ in āñkhoñ se sab manzar-e-rañg-o-bū dekhtā huuñ
rāsta rāsta kū-ba-kū dekhtā huuñ
maiñ ki shab-gard shā.ir
chāñd se bāteñ karte hue chal paḌā thā
ek bastī milī
malgaje aur siyah jhoñpaḌe chār-sū
jhoñpaḌe jin kī sham.oñ meñ sāñseñ na thiiñ
zard bīmār ujāle
raakh aur gandagī
ik ufūnat kā ambār
zindagī jaise sharmā rahī thī
mirī jānib kahīñ duur se ek saaya baḌhā
maiñ ne pūchhā ki tum kaun ho
vo ye kahne lagā
maiñ ki zulmat huuñ tum raushnī do mujhe
maiñ jihālat huuñ tum āgahī do mujhe
maiñ najāsat huuñ pākīzgī do mujhe
lo suno aur dekho mujhe
maiñ chhaTā aadmī huuñ bachā lo mujhe
maiñ chhaTā aadmī huuñ bachā lo mujhe
ye mera shahr hai
KHub-surat hasin
chandni ka nagar dhup ki sarzamin
shahr ke roz o shab meri aankhen
jis tarah putliyan aur safedi
main in aankhon se sab manzar-e-rang-o-bu dekhta hun
rasta rasta ku-ba-ku dekhta hun
main ki shab-gard shair
chand se baaten karte hue chal paDa tha
ek basti mili
malgaje aur siyah jhonpaDe chaar-su
jhonpaDe jin ki shamon mein sansen na thin
zard bimar ujale
rakh aur gandagi
ek ufunat ka ambar
zindagi jaise sharma rahi thi
meri jaanib kahin dur se ek saya baDha
main ne puchha ki tum kaun ho
wo ye kahne laga
main ki zulmat hun tum raushni do mujhe
main jihaalat hun tum aagahi do mujhe
main najasat hun pakizgi do mujhe
lo suno aur dekho mujhe
main chhaTa aadmi hun bacha lo mujhe
main chhaTa aadmi hun bacha lo mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.