chhipkili
hajla-e-tārīk meñ paa.ī hai is ne parvarish
sham.a jalte hī dar-o-dīvār par
le ke maTiyālā sā kāhīda badan
jhūmtī sar-mast aa jaatī hai ye
pā-ba-jaulāñ chand parvānoñ ke paas
ġhota-zan paate hī jin ko āb-shār-e-nūr meñ
tez chamkīlī nukīlī aañkh se
yuuñ dekhtī hai bār-bār
jaise ik sarmāya-dār
māl-o-zar kī oT se
kartā hai muflis kā shikār
phir nikal jaatī hai ye
soz-o-ġham ke shāhkār
raushnī ke tājdār
chand parvānoñ kī jāñ-sozī se kyā matlab ise
sham.a kī raushnī ḳhayālī is ke pīchhe gard hai
hajla-e-tārīk meñ paa.ī hai is ne parvarish
hajla-e-tarik mein pai hai is ne parwarish
shama jalte hi dar-o-diwar par
le ke maTiyala sa kahida badan
jhumti sar-mast aa jati hai ye
pa-ba-jaulan chand parwanon ke pas
ghota-zan pate hi jin ko aab-shaar-e-nur mein
tez chamkili nukili aankh se
yun dekhti hai bar-bar
jaise ek sarmaya-dar
mal-o-zar ki oT se
karta hai muflis ka shikar
phir nikal jati hai ye
soz-o-gham ke shahkar
raushni ke tajdar
chand parwanon ki jaan-sozi se kya matlab ise
shama ki raushni KHayali is ke pichhe gard hai
hajla-e-tarik mein pai hai is ne parwarish
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.