chhoD de
koī aa.e na aa.e
tū aas lagānā chhoḌ de
bahne na lage ashk āñkhoñ se terī
dil se āñkhoñ kā rishta nibhānā chhoḌ de
dauḌe jaatī hai muskurāte ik dastak par
vo mohabbat hai udaas ho dar se use vāpas moḌ de
ban jā be-jān ik zinda laash
akele baiTh aur kambaḳht sochnā chhoḌ de
haal tujh se dekhā nahīñ jaatā to na dekh
patthar uThā aur apnā ā.īna toḌ de
tū kab se kisī ke liye ḳhaas hone lagī
bas kar ab in bātoñ meñ aanā chhoḌ de
TūTte TūTte jo phir TuuT gayā
use uThā aur siine meñ vāpas joḌ de
dard se uThtī hai aur dard meñ girtī hai
sambhāl ḳhud ko aur ab likhnā chhoḌ de
koi aae na aae
tu aas lagana chhoD de
bahne na lage ashk aankhon se teri
dil se aankhon ka rishta nibhana chhoD de
dauDe jati hai muskuraate ek dastak par
wo mohabbat hai udas ho dar se use wapas moD de
ban ja be-jaan ek zinda lash
akele baiTh aur kambaKHt sochna chhoD de
haal tujh se dekha nahin jata to na dekh
patthar uTha aur apna aaina toD de
tu kab se kisi ke liye KHas hone lagi
bas kar ab in baaton mein aana chhoD de
TuTte TuTte jo phir TuT gaya
use uTha aur sine mein wapas joD de
dard se uThti hai aur dard mein girti hai
sambhaal KHud ko aur ab likhna chhoD de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.