chhoTe baDe
chhoTā sā ek biij agar hai to kyā huā
kitnā baḌā daraḳht hai is meñ chhupā huā
dhartī meñ Daal detā hai jab vaqt par kisān
phir dekhne kī hotī hai is biij kī uThān
sansār jī rahā hai isī kām-kāj se
kitnoñ ke peT bharte haiñ is ke anaaj se
chhoTe se til meñ aañkh ke itnī baḌā.ī hai
dariyā hoñ yā pahāḌ hoñ sab kī samā.ī hai
phūloñ kā aur chāñd sitāroñ kā rang ruup
do āñkheñ dekhtī haiñ hazāroñ kā rang ruup
phailā hai saare ghar meñ ujālā charāġh ek
gun kitne haiñ dimāġh meñ aur hai dimāġh ek
mil-jul ke ek paanī kā dariyā bahātī haiñ
būñdeñ haiñ chhoTī chhoTī jo sāgar banātī haiñ
ye mez par tumhārī jo chhoTī sī hai kitāb
chhoTī sī is kitāb meñ lākhoñ kā hai hisāb
chhoTā sā dil hai is meñ umangeñ baḌī baḌī
dil aur baḌh gayā koī mushkil jo aa paḌī
chhoTī sī umr meñ jo irāde rahe kaḌe
duniyā meñ tum bhī kaam karoge baḌe baḌe
chhoTa sa ek bij agar hai to kya hua
kitna baDa daraKHt hai is mein chhupa hua
dharti mein Dal deta hai jab waqt par kisan
phir dekhne ki hoti hai is bij ki uThan
sansar ji raha hai isi kaam-kaj se
kitnon ke peT bharte hain is ke anaj se
chhoTe se til mein aankh ke itni baDai hai
dariya hon ya pahaD hon sab ki samai hai
phulon ka aur chand sitaron ka rang rup
do aankhen dekhti hain hazaron ka rang rup
phaila hai sare ghar mein ujala charagh ek
gun kitne hain dimagh mein aur hai dimagh ek
mil-jul ke ek pani ka dariya bahati hain
bunden hain chhoTi chhoTi jo sagar banati hain
ye mez par tumhaari jo chhoTi si hai kitab
chhoTi si is kitab mein lakhon ka hai hisab
chhoTa sa dil hai is mein umangen baDi baDi
dil aur baDh gaya koi mushkil jo aa paDi
chhoTi si umr mein jo irade rahe kaDe
duniya mein tum bhi kaam karoge baDe baDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.