chhoTe qad ke log
buland baañg da.avoñ kī
āvāzeñ
khoTe sikkoñ kī tarah
bajtī haiñ
phir bhī chhoTe qad ke log
in qad-āvar āvāzoñ ko
sunte rahte haiñ
kāġhaz ke TukḌoñ kī
ab koī qīmat na rahī
phir bhī bhūkī āñkheñ
unheñ DhūñDhtī haiñ
aur nākām rahtī haiñ
aur be-rahm haath
unheñ jam.a karte rahte haiñ
chhoTe qad ke log
apnī āvāz kho chuke haiñ
vo sirf dekh sakte haiñ
aur sun sakte haiñ
buland bang dawon ki
aawazen
khoTe sikkon ki tarah
bajti hain
phir bhi chhoTe qad ke log
in qad-awar aawazon ko
sunte rahte hain
kaghaz ke TukDon ki
ab koi qimat na rahi
phir bhi bhuki aankhen
unhen DhunDhti hain
aur nakaam rahti hain
aur be-rahm hath
unhen jama karte rahte hain
chhoTe qad ke log
apni aawaz kho chuke hain
wo sirf dekh sakte hain
aur sun sakte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.