Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhoTi si burqa wali

Rafie Ajmeri

chhoTi si burqa wali

Rafie Ajmeri

MORE BYRafie Ajmeri

    vo dekho rahī hai chhoTī burqā vaalī

    burqā laTak rahā hai dāman ghisaT rahā hai

    nīche saarā hissa miTTī meñ aT rahā hai

    ye Dhīlā Dhālā burqā dab dab ke phaT rahā hai

    har martaba havā se maqna.a ulaT rahā hai

    par Daale rahī hai chhoTī burqā vaalī

    sūrat se sin meñ begam saat aaTh saal hoñgī

    parde par ye bolo dil meñ nihāl hoñgī

    ye dhūm-dhām maamā jo ban ke rahī haiñ

    ghar jaate jaate baano be-shak niDhāl hoñgī

    aahā vo rahī hai chhoTī burqā vaalī

    parde itnā sin meñ allāh ḳhayāl dekho

    jaalī se ho rahā hai chalnā muhāl dekho

    muġhlānī b bhī haiñ saath aur ho rahī haiñ bāteñ

    aur ye saTar-paTar jaldī chaal dekho

    lo muskurā rahī hai chhoTī burqā vaalī

    vo dekho rahī hai chhoTī burqā vaalī

    wo dekho ja rahi hai chhoTi si burqa wali

    burqa laTak raha hai daman ghisaT raha hai

    niche ka sara hissa miTTi mein aT raha hai

    ye Dhila Dhaala burqa dab dab ke phaT raha hai

    har martaba hawa se maqna ulaT raha hai

    par Dale ja rahi hai chhoTi si burqa wali

    surat se sin mein begam sat aaTh sal hongi

    parde ki par ye bolo dil mein nihaal hongi

    ye dhum-dham mama jo ban ke ja rahi hain

    ghar jate jate bano be-shak niDhaal hongi

    aaha wo ja rahi hai chhoTi si burqa wali

    parde ka itna sin mein allah KHayal dekho

    jali se ho raha hai chalna muhaal dekho

    mughlani b bhi hain sath aur ho rahi hain baaten

    aur ye saTar-paTar si jaldi ki chaal dekho

    lo muskura rahi hai chhoTi si burqa wali

    wo dekho ja rahi hai chhoTi si burqa wali

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now