chhoTi si hansi
suunī suunī thī fazā
maiñ ne yūñhī
us ke bāloñ meñ guñdhī ḳhāmoshiyoñ ko chhū liyā
vo muḌī
thoḌā hañsī
maiñ bhī hañsā
phir hamāre saath
nadiyāñ vādiyāñ
kohsār bādal
phuul koñpal
shahr jañgal
sab ke sab hañsne lage
ik mohalle meñ
kisī ghar ke
kisī kone kī
chhoTī sī hañsī ne
duur tak phailī huī duniyā ko
raushan kar diyā hai
zindagī meñ
zindagī kā rañg phir se bhar diyā hai
suni suni thi faza
main ne yunhi
us ke baalon mein gundhi KHamoshiyon ko chhu liya
wo muDi
thoDa hansi
main bhi hansa
phir hamare sath
nadiyan wadiyan
kohsar baadal
phul konpal
shahr jangal
sab ke sab hansne lage
ek mohalle mein
kisi ghar ke
kisi kone ki
chhoTi si hansi ne
dur tak phaili hui duniya ko
raushan kar diya hai
zindagi mein
zindagi ka rang phir se bhar diya hai
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 369)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.