chhoTi si khiDki
muḳhtasar kamre kī
ek chhoTī sī maġhmūm khiḌkī
kabhī dekhtī hai jo bāhar kī duniyā
udāsī bahut baḌh jaatī hai us kī
magar sāmne ke hare lawn ke phuul
champā chamelī gulāb aur belā kī poshāk
pahne hue muskurāte hue
rañg o ḳhushbū ke lahje meñ us ko
sunāte haiñ ma.asūm lamhoñ kā qissa
hathelī pe phir inhī ma.asūm lamhoñ kī
tahrīr kartī hai dilkash hañsī
ek chahkār koyal kī
aur jab mohabbat kī uñglī nazākat se thāme
ḳhirāmāñ ḳhirāmāñ
anokhā sā ik phuul is lawn par
'mīr' ke sher ki pañkhuḌī chunane lagtā hai
tab vaqt ke qahqahoñ kā
bahut ḳhushnumā silsila
Thahar jaatā hai
is muḳhtasar kamre kī
chhoTī sī khiḌkī meñ
muKHtasar kamre ki
ek chhoTi si maghmum khiDki
kabhi dekhti hai jo bahar ki duniya
udasi bahut baDh jati hai us ki
magar samne ke hare lawn ke phul
champa chameli gulab aur bela ki poshak
pahne hue muskuraate hue
rang o KHushbu ke lahje mein us ko
sunate hain masum lamhon ka qissa
hatheli pe phir inhi masum lamhon ki
tahrir karti hai dilkash hansi
ek chahkar koyal ki
aur jab mohabbat ki ungli nazakat se thame
KHiraman KHiraman
anokha sa ek phul is lawn par
'mir' ke sher ki pankhuDi chunane lagta hai
tab waqt ke qahqahon ka
bahut KHushnuma silsila
Thahar jata hai
is muKHtasar kamre ki
chhoTi si khiDki mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.