chhuTTi
ab kī garmī kī chhuTTī meñ
ya.anī is guzrī garmī meñ
ga.e lakhna.ū ham ḳhāla ke ghar
dekhe tarah tarah ke manzar
bhūl-bhulayyāñ ham ne dekhī
jā ke na nikle jis meñ koī
dekhā husain-ābād kā phāTak
dekhā cinema dekhā nāTak
laaT shahīdoñ vaalī dekhī
park ga.e ham hāthī vaalī
council chamber dekhā ham ne
zō bhī jā kar bhālū dekhe
naach dikhāte kaalū dekhe
belly-gaurd ham ne dekhī
jis meñ chale the gole golī
ga.e amīnābād bhī yaaro
aur hue ham shaad bhī yaaro
ganj kī ham ne sair bhī kar lī
har manzar se jholī bhar lī
guzre qaisar-bāġh se ho kar
chār-bāġh kā chaltā manzar
dekh ke har manzar ko aa.e
lauT ke apne ghar ko aa.e
ab ki garmi ki chhuTTi mein
yani is guzri garmi mein
gae lakhnau hum KHala ke ghar
dekhe tarah tarah ke manzar
bhul-bhulayyan hum ne dekhi
ja ke na nikle jis mein koi
dekha husain-abaad ka phaTak
dekha cinema dekha naTak
laT shahidon wali dekhi
park gae hum hathi wali
council chamber dekha hum ne
zoo bhi ja kar bhaalu dekhe
nach dikhate kalu dekhe
belly-gaurd hum ne dekhi
jis mein chale the gole goli
gae aminabaad bhi yaro
aur hue hum shad bhi yaro
ganj ki hum ne sair bhi kar li
har manzar se jholi bhar li
guzre qaisar-bagh se ho kar
chaar-bagh ka chalta manzar
dekh ke har manzar ko aae
lauT ke apne ghar ko aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.