chiDiya
aa jā nannhī chiḌiyā aa jā
aa kar mujh ko giit sunā jā
darvāze ke moḌ se muḌ kar
abbā jī kī mez se uḌ kar
ammī ke kamre meñ aa jā
le ye mīThā biscuit khā jā
āñgan meñ tū phudak rahī hai
dīvāroñ par uchak rahī hai
aa jā merī god meñ aa jā
tujh ko sunā.ūñgā maiñ baajā
tū ban jā merī ham-jolī
mil kar kheleñ āñkh-micholī
kab se maiñ baiThā huuñ akelā
koī bhī mere saath na khelā
bhaa.ī bahan schōl ga.e haiñ
abbū ammī ghar meñ nahīñ haiñ
maiñ ḳhālī ghar meñ ghabrātā
koī na merā jī bahlātā
aa jā mujh se Dartī kyuuñ hai
Dartī aur jhijaktī kyuuñ hai
aa ja nannhi chiDiya aa ja
aa kar mujh ko git suna ja
darwaze ke moD se muD kar
abba ji ki mez se uD kar
ammi ke kamre mein aa ja
le ye miTha biscuit kha ja
aangan mein tu phudak rahi hai
diwaron par uchak rahi hai
aa ja meri god mein aa ja
tujh ko sunaunga main baja
tu ban ja meri ham-joli
mil kar khelen aankh-micholi
kab se main baiTha hun akela
koi bhi mere sath na khela
bhai bahan school gae hain
abbu ammi ghar mein nahin hain
main KHali ghar mein ghabraata
koi na mera ji bahlata
aa ja mujh se Darti kyun hai
Darti aur jhijakti kyun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.