chiDiya aur koyal
moTā sā ik baaje vaalā
chaltā chaltā jañgal aayā
jañgal meñ koyal rahtī thī
pinjre meñ band vo baiThī thī
baaje ko dekh ke chahkī vo
muddat ke ba.ad hī bolī vo
tū baajā bajā maiñ gā.ūñgī
naġhme maiñ achchhe sunā.ūñgī
koyal ne yuuñ gaanā gaayā
baaje vaalā bhī mast huā
thī paas hī ek chiḌiyā baiThī
gaanā sun ke vo kahne lagī
koyal-bī tum ko hai aatā
kitnā achchhā gaanā gaanā
āvāz tumhārī pyārī hai
saarī duniyā se nyārī hai
tum ḳhud hī giit banātī ho
tum ḳhud hī achchhā gaatī ho
tum kyuuñ is baaje vaale ko
kahtī ho saaz bajāne ko
phir ek din ye baaje vaalā
har ek se ye kahtā hogā
maiñ ne hī jā kar sikhlāyā
koyal ko bhī gaanā gaanā
merī maano ik kaam karo
tum raushan apnā naam karo
pinjre se nikal bāhar aao
tum Daalī Daalī ḳhud gaao
ye sun ke koyal bhī hañs dī
chiḌiyā se phir vo yuuñ bolī
kyā koī hunar bhī bin sīkhe
aatā hai kisī ko chupke se
jab mashq nahīñ kartā koī
māhir nahīñ ban saktā koī
jis ne kiyā apne fan ko yaad
āḳhir vahī kahlāyā ustād
moTa sa ek baje wala
chalta chalta jangal aaya
jangal mein koyal rahti thi
pinjre mein band wo baiThi thi
baje ko dekh ke chahki wo
muddat ke baad hi boli wo
tu baja baja main gaungi
naghme main achchhe sunaungi
koyal ne yun gana gaya
baje wala bhi mast hua
thi pas hi ek chiDiya baiThi
gana sun ke wo kahne lagi
koyal-bi tum ko hai aata
kitna achchha gana gana
aawaz tumhaari pyari hai
sari duniya se nyari hai
tum KHud hi git banati ho
tum KHud hi achchha gati ho
tum kyun is baje wale ko
kahti ho saz bajaane ko
phir ek din ye baje wala
har ek se ye kahta hoga
main ne hi ja kar sikhlaya
koyal ko bhi gana gana
meri mano ek kaam karo
tum raushan apna nam karo
pinjre se nikal bahar aao
tum Dali Dali KHud gao
ye sun ke koyal bhi hans di
chiDiya se phir wo yun boli
kya koi hunar bhi bin sikhe
aata hai kisi ko chupke se
jab mashq nahin karta koi
mahir nahin ban sakta koi
jis ne kiya apne fan ko yaad
aaKHir wahi kahlaya ustad
- Book : Aankh Mecholi (Pg. 13)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.