chiDiya ke bachche
do tiin chhoTe bachche chiḌiyā ke ghoñsle meñ
chup-chāp lag rahe haiñ siine se apnī maañ ke
chiḌiyā ne māmtā se phailā ke donoñ baazū
apne paroñ ke andar bachchoñ ko Dhak liyā hai
is tarah roz-marra kartī hai maañ hifāzat
sardī se aur havā se rakhtī hai garm un ko
lekin chiḌā gayā hai chuggā talāsh karne
daana kahīñ kahīñ se puuTe meñ apne bhar kar
jab lā.egā to bachche muñh khol deñge jhaT-paT
un ko bharā.egā vo maañ aur baap donoñ
bachchoñ kī parvarish meñ masrūf haiñ barābar
aur chhoTe bachche ḳhush haiñ taklīf kuchh nahīñ hai
ai chhoTe chhoTe bachcho tum ūñche ghoñsle se
hargiz nahīñ giroge par aur purze ab tak
nikle nahīñ tumhāre, is vāste abhī tum
ūñche na uḌ sakoge, haañ jab tumhāre baazū
aur par durust hoñge to din kī raushnī meñ
sīkhoge tum bhī uḌnā karte phiroge cheñ-cheñ
uḌte phiroge phur-phur ai chhoTe bachcho lekin
kavvā burī balā hai us se ḳhudā bachā.e
do tin chhoTe bachche chiDiya ke ghonsle mein
chup-chap lag rahe hain sine se apni man ke
chiDiya ne mamta se phaila ke donon bazu
apne paron ke andar bachchon ko Dhak liya hai
is tarah roz-marra karti hai man hifazat
sardi se aur hawa se rakhti hai garm un ko
lekin chiDa gaya hai chugga talash karne
dana kahin kahin se puTe mein apne bhar kar
jab laega to bachche munh khol denge jhaT-paT
un ko bharaega wo man aur bap donon
bachchon ki parwarish mein masruf hain barabar
aur chhoTe bachche KHush hain taklif kuchh nahin hai
ai chhoTe chhoTe bachcho tum unche ghonsle se
hargiz nahin giroge par aur purze ab tak
nikle nahin tumhaare, is waste abhi tum
unche na uD sakoge, han jab tumhaare bazu
aur par durust honge to din ki raushni mein
sikhoge tum bhi uDna karte phiroge chen-chen
uDte phiroge phur-phur ai chhoTe bachcho lekin
kawwa buri bala hai us se KHuda bachae
- Book : Bchchaun ke ismail meruthi (Pg. 177)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.