chiDiya-KHana
najmī fahmī uzmā rā.anā
aao dekheñ chiḌiyā-ḳhāna
jin ke naam sunā karte ho
aaj unheñ nazdīk se dekho
ek se ek parinde dekho
ādam-ḳhor darinde dekho
mor saroñ par taaj sajā.e
naach rahe haiñ par phailā.e
bulbul dekho totā dekho
koyal dekho mainā dekho
ḳhush-āvāz papīhā dekho
hud-hud aur gaurayyā dekho
bhoñrā dekho titlī dekho
sher kī ḳhāla billī dekho
zebra ghoḌā TaTTū ḳhachchar
baaz kabūtar kavvā tītar
vo dekho ḳhargosh gilahrī
bāra-siñghā aur vo hirnī
ban-mānus aur bhālū bhī hai
nevlā aur kañgārū bhī hai
bandar kī naqqālī dekho
piiT rahe haiñ taalī dekho
do do hāthī jhuum rahe haiñ
duur gad.he bhī ghuum rahe haiñ
sheroñ kā ġhurrāna dekho
teñdve kā bal khānā dekho
vo dekho afrīqī gaiñDā
aur ye hindostānī chītā
phan kāḌhe ik nāgan bhī hai
lomḌī ik makkāran bhī hai
buzdil gīdaḌ lakkaḌ-bagghā
kaun banegā leader is kā
dilkash taa.ir aabī dekho
kaisī hai murġhābī dekho
machhlī ko lahrāte dekho
meñDak ko Tarrāte dekho
ek magarmachh jaag rahā hai
dekh ke kachhvā bhaag rahā hai
aaj 'farāġh' uncle ne dekhā
kalkatte kā chiḌiyā-ḳhāna
najmi fahmi uzma raana
aao dekhen chiDiya-KHana
jin ke nam suna karte ho
aaj unhen nazdik se dekho
ek se ek parinde dekho
aadam-KHor darinde dekho
mor saron par taj sajae
nach rahe hain par phailae
bulbul dekho tota dekho
koyal dekho maina dekho
KHush-awaz papiha dekho
hud-hud aur gaurayya dekho
bhonra dekho titli dekho
sher ki KHala billi dekho
zebra ghoDa TaTTu KHachchar
baz kabutar kawwa titar
wo dekho KHargosh gilahri
bara-singha aur wo hirni
ban-manus aur bhaalu bhi hai
newla aur kangaru bhi hai
bandar ki naqqali dekho
piT rahe hain tali dekho
do do hathi jhum rahe hain
dur gadhe bhi ghum rahe hain
sheron ka ghurrana dekho
tendwe ka bal khana dekho
wo dekho afriqi gainDa
aur ye hindostani chita
phan kaDhe ek nagan bhi hai
lomDi ek makkaran bhi hai
buzdil gidaD lakkaD-baggha
kaun banega leader is ka
dilkash tair aabi dekho
kaisi hai murghabi dekho
machhli ko lahraate dekho
meinDak ko Tarraate dekho
ek magarmachh jag raha hai
dekh ke kachhwa bhag raha hai
aaj 'faragh' uncle ne dekha
kalkatte ka chiDiya-KHana
- Book : Hum Bachche Hain Padhne Wale (Pg. 17)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.