chiDiyon ka shor
safed kāġhaz par
pencil ke chalne kī āvāz
bahut kam hai
saḌak par tank guzarne kī āvāz
is se kuchh ziyāda hai
aur shāyad merī āvāz
in donoñ āvāzoñ se ziyāda hai
magar sab se ziyāda hai
chiḌiyoñ kā shor
baḌhtā hī rahtā
jab ek shikārī aatā hai
havā meñ bandūq chalātā hai
ek chiḌiyā ḳhauf se mar jaatī hai
baaqī shor machātī haiñ
chiḌiyoñ kā shor ziyāda ho jaatā hai
shikārī ko maar detā hai
safed kaghaz par
pencil ke chalne ki aawaz
bahut kam hai
saDak par tank guzarne ki aawaz
is se kuchh ziyaada hai
aur shayad meri aawaz
in donon aawazon se ziyaada hai
magar sab se ziyaada hai
chiDiyon ka shor
baDhta hi rahta
jab ek shikari aata hai
hawa mein banduq chalata hai
ek chiDiya KHauf se mar jati hai
baqi shor machati hain
chiDiyon ka shor ziyaada ho jata hai
shikari ko mar deta hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 492)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.