chiKH
kabhī vo sadā
gungunātī subuk-rau havāoñ kī aahaT thī
dhīre se girtī huī niiñd se chuur palkoñ kī larzish thī
guñg aur niilī fazāoñ meñ uḌte hue ek panchhī kī
mastī bharī phaḌ-phaDāhaT kā naġhma
kalī ke chaTakne kī āvāz thī
ab vahī ik sadā
gūñjte gūñjte bāvlī raat kī chīḳh meñ hai
havāoñ kī rotī huī bāñsurī
bādaloñ kī garaj
merī rag rag se uThte hue dard kī lai banī hai
kabhī mere vīrān sāñsoñ meñ chalte hue
tez jhakkaḌ kī āvāz hai
merī sulgī huī ḳhvāhishoñ kā umaDtā huā shor hai
kabhi wo sada
gungunati subuk-rau hawaon ki aahaT thi
dhire se girti hui nind se chur palkon ki larzish thi
gung aur nili fazaon mein uDte hue ek panchhi ki
masti bhari phaD-phaDahaT ka naghma
kali ke chaTakne ki aawaz thi
ab wahi ek sada
gunjte gunjte bawli raat ki chiKH mein hai
hawaon ki roti hui bansuri
baadalon ki garaj
meri rag rag se uThte hue dard ki lai bani hai
kabhi mere viran sanson mein chalte hue
tez jhakkaD ki aawaz hai
meri sulgi hui KHwahishon ka umaDta hua shor hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.