chikan-fried halal rakhna
tumhārī dāvat qubūl mujh ko magar tum itnā ḳhayāl rakhnā
beer kisī bhī brand kī ho chikan-fried halāl rakhnā
bharī huī rail meñ chaḌho to tum apnī hurmat sambhāl rakhnā
na.e zamānoñ kā hai taqāzā parā.e hoñToñ pe gaal rakhnā
idhar hai patthar udhar hai lāThī zarā ye Topī sambhāl rakhnā
maiñ apne sar kā ḳhayāl rakhkhūñ tum apne sar kā ḳhayāl rakhnā
pachās ko vo cross kar ke kuchh aur ḳhūñ-ḳhvār ho ga.ī hai
agar use aunty kaho to nigāh meñ haspatāl rakhnā
tumhaari dawat qubul mujh ko magar tum itna KHayal rakhna
beer kisi bhi brand ki ho chikan-fried halal rakhna
bhari hui rail mein chaDho to tum apni hurmat sambhaal rakhna
nae zamanon ka hai taqaza parae honTon pe gal rakhna
idhar hai patthar udhar hai laThi zara ye Topi sambhaal rakhna
main apne sar ka KHayal rakhkhun tum apne sar ka KHayal rakhna
pachas ko wo cross kar ke kuchh aur KHun-KHwar ho gai hai
agar use aunty kaho to nigah mein haspatal rakhna
- Book : excuse me (Pg. 46)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.