Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bachche ki dua

Allama Iqbal

bachche ki dua

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    dedicated to children ( extracted )

    lab pe aatī hai duā ban ke tamannā merī

    zindagī sham.a sūrat ho ḳhudāyā merī!

    duur duniyā mire dam se añdherā ho jaa.e!

    har jagah mere chamakne se ujālā ho jaa.e!

    ho mire dam se yūñhī mere vatan zīnat

    jis tarah phuul se hotī hai chaman zīnat

    zindagī ho mirī parvāne sūrat yā-rab

    ilm sham.a se ho mujh ko mohabbat yā-rab

    ho mirā kaam ġharīboñ himāyat karnā

    dard-mandoñ se za.īfoñ se mohabbat karnā

    mire allāh! burā.ī se bachānā mujh ko

    nek jo raah ho us rah pe chalānā mujh ko

    lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri

    zindagi shama ki surat ho KHudaya meri!

    dur duniya ka mere dam se andhera ho jae!

    har jagah mere chamakne se ujala ho jae!

    ho mere dam se yunhi mere watan ki zinat

    jis tarah phul se hoti hai chaman ki zinat

    zindagi ho meri parwane ki surat ya-rab

    ilm ki shama se ho mujh ko mohabbat ya-rab

    ho mera kaam gharibon ki himayat karna

    dard-mandon se zaifon se mohabbat karna

    mere allah! burai se bachana mujh ko

    nek jo rah ho us rah pe chalana mujh ko

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Multiple

    Multiple

    Ali Zafar

    Ali Zafar

    Source :
    • Book : کلیات اقبال (Pg. 34)
    • Author : علامہ اقبال
    • Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس،دہلی (2014)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now