chand
tum naddī par jā kar dekho
jab naddī meñ nahā.e chāñd
kaisī lagā.ī Dupkī us ne
Dar hai Duub na jaa.e chāñd
kirnoñ kī ik sīḌhī le kar
chham chham utrā jaa.e chāñd
jab tum use pakaḌne jaao
paanī meñ chhup jaa.e chāñd
ab paanī meñ chup baiThā hai
kyā kyā ruup dikhā.e chāñd
chāhe jidhar ko jaao 'afsar'
saath hamāre jaa.e chāñd
tum naddi par ja kar dekho
jab naddi mein nahae chand
kaisi lagai Dupki us ne
Dar hai Dub na jae chand
kirnon ki ek siDhi le kar
chham chham utra jae chand
jab tum use pakaDne jao
pani mein chhup jae chand
ab pani mein chup baiTha hai
kya kya rup dikhae chand
chahe jidhar ko jao 'afsar'
sath hamare jae chand
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.