chhoTe kaam ka baDa natija
ek bachcha ki abhī kuchh use tam.īz na thī
lahv-bāzī se pasandīda koī chiiz na thī
khelnā kūdnā khānā yahī ma.amūl thā bas
inhīñ tiflāna tamannāoñ meñ mashġhūl thā bas
ek tālāb thā do-chār qadam ghar se pare
dil meñ lahr aa.ī lab-e-āb zarā sair kare
saaf paanī se jo tālāb ko paayā labrez
khel kā shauq tabī.at meñ huā aur bhī tez
ās-pās apne jo paayā koī kañkar patthar
pheñk maarā use paanī meñ bahut ḳhush ho kar
khel thā pahle to ab turfa-tamāshā dekhā
dil hī dil meñ mutahayyar thā ki ye kyā dekhā
dā.era ek banā aisā ki baḌhtā hai muhīt
gher lī jis ne ki tālāb kī sab sat.h-e-basīt
phir to khel us kā isī shaġhl pe mauqūf rahā
isī nazzāre meñ tā-der vo masrūf rahā
isī asnā meñ huā bachche kī maañ kā bhī guzar
bolā ammāñ mujhe aa.ī hai ajab chiiz nazar
jo na dekhī na sunī thī kabhī ab se pahle
shāyad aa.ī hai nazar mujh ko hī sab se pahle
ik zarā sī harakat aur ye tāsīr ajiib
dā.era baḌh ke pahuñchtā hai kināre ke qarīb
bas-ki jī jaan se is shobade par thā shaidā
vus.at-e-dā.era kī apnī amal se paidā
thī vo maañ ahl-e-dil aur nek-manush nek-nihād
hañs ke farmāyā mirī jaañ ye nasīhat rakh yaad
yūñhī har kaam kā ho jaatā hai anjām baḌā
go ki āġhāz meñ hotā nahīñ vo kaam baḌā
kabhī adnā harakat zalzala ban jaatī hai
kabhī nāchīz sī ik baat ġhazab Dhātī hai
yahī andāz-e-nikokārī o bad-kārī hai
avvalan ḳhaas thī ab aam meñ vo jaarī hai
ek bachcha ki abhi kuchh use tamiz na thi
lahw-bazi se pasandida koi chiz na thi
khelna kudna khana yahi mamul tha bas
inhin tiflana tamannaon mein mashghul tha bas
ek talab tha do-chaar qadam ghar se pare
dil mein lahr aai lab-e-ab zara sair kare
saf pani se jo talab ko paya labrez
khel ka shauq tabiat mein hua aur bhi tez
aas-pas apne jo paya koi kankar patthar
phenk mara use pani mein bahut KHush ho kar
khel tha pahle to ab turfa-tamasha dekha
dil hi dil mein mutahayyar tha ki ye kya dekha
daera ek bana aisa ki baDhta hai muhit
gher li jis ne ki talab ki sab sath-e-basit
phir to khel us ka isi shaghl pe mauquf raha
isi nazzare mein ta-der wo masruf raha
isi asna mein hua bachche ki man ka bhi guzar
bola amman mujhe aai hai ajab chiz nazar
jo na dekhi na suni thi kabhi ab se pahle
shayad aai hai nazar mujh ko hi sab se pahle
ek zara si harakat aur ye tasir ajib
daera baDh ke pahunchta hai kinare ke qarib
bas-ki ji jaan se is shobade par tha shaida
wusat-e-daera ki apni amal se paida
thi wo man ahl-e-dil aur nek-manush nek-nihad
hans ke farmaya meri jaan ye nasihat rakh yaad
yunhi har kaam ka ho jata hai anjam baDa
go ki aaghaz mein hota nahin wo kaam baDa
kabhi adna harakat zalzala ban jati hai
kabhi nachiz si ek baat ghazab Dhati hai
yahi andaz-e-nikokari o bad-kari hai
awwalan KHas thi ab aam mein wo jari hai
- Book : Bchchaun ke ismail meruthi (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.