ek pahaD aur gilahri
Interesting Fact
dedicated to children (inspired by Emerson's verses)
koī pahāḌ ye kahtā thā ik gilahrī se
tujhe ho sharm to paanī meñ jā ke Duub mare
zarā sī chiiz hai is par ġhurūr! kyā kahnā!
ye aql aur ye samajh ye shu.ūr! kyā kahnā!
ḳhudā kī shaan hai nā-chīz! chiiz ban baiTheñ!
jo be-shu.ūr hoñ yuuñ bā-tamīz ban baiTheñ!
tirī bisāt hai kyā merī shaan ke aage
zamīñ hai past mirī ān-bān ke aage
jo baat mujh meñ hai tujh ko vo hai nasīb kahāñ
bhalā pahāḌ kahāñ jānvar ġharīb kahāñ!
kahā ye sun ke gilahrī ne muñh sambhāl zarā
ye kachchī bāteñ haiñ dil se inheñ nikāl zarā!
jo maiñ baḌī nahīñ terī tarah to kyā parvā!
nahīñ hai tū bhī to āḳhir mirī tarah chhoTā
har ek chiiz se paidā ḳhudā kī qudarat hai
koī baḌā koī chhoTā ye us kī hikmat hai
baḌā jahān meñ tujh ko banā diyā us ne
mujhe daraḳht pe chaḌhnā sikhā diyā us ne
qadam uThāne kī tāqat nahīñ zarā tujh meñ
nirī baḌā.ī hai! ḳhūbī hai aur kyā tujh meñ
jo tū baḌā hai to mujh sā hunar dikhā mujh ko
ye chhāliyā hī zarā toḌ kar dikhā mujh ko
nahīñ hai chiiz nikammī koī zamāne meñ
koī burā nahīñ qudarat ke kār-ḳhāne meñ
koi pahaD ye kahta tha ek gilahri se
tujhe ho sharm to pani mein ja ke Dub mare
zara si chiz hai is par ghurur! kya kahna!
ye aql aur ye samajh ye shuur! kya kahna!
KHuda ki shan hai na-chiz! chiz ban baiThen!
jo be-shuur hon yun ba-tamiz ban baiThen!
teri bisat hai kya meri shan ke aage
zamin hai past meri aan-ban ke aage
jo baat mujh mein hai tujh ko wo hai nasib kahan
bhala pahaD kahan jaanwar gharib kahan!
kaha ye sun ke gilahri ne munh sambhaal zara
ye kachchi baaten hain dil se inhen nikal zara!
jo main baDi nahin teri tarah to kya parwa!
nahin hai tu bhi to aaKHir meri tarah chhoTa
har ek chiz se paida KHuda ki qudarat hai
koi baDa koi chhoTa ye us ki hikmat hai
baDa jahan mein tujh ko bana diya us ne
mujhe daraKHt pe chaDhna sikha diya us ne
qadam uThane ki taqat nahin zara tujh mein
niri baDai hai! KHubi hai aur kya tujh mein
jo tu baDa hai to mujh sa hunar dikha mujh ko
ye chhaaliya hi zara toD kar dikha mujh ko
nahin hai chiz nikammi koi zamane mein
koi bura nahin qudarat ke kar-KHane mein
- Book : کلیات اقبال (Pg. 31)
- Author : علامہ اقبال
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس،دہلی (2014)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.