man ka KHwab
Interesting Fact
dedicated to children (extracted)
maiñ soī jo ik shab to dekhā ye ḳhvāb
baḌhā aur jis se mirā iztirāb
ye dekhā ki maiñ jā rahī huuñ kahīñ
añdherā hai aur raah miltī nahīñ
laraztā thā Dar se mirā baal baal
qadam kā thā dahshat se uThnā muhāl
jo kuchh hausla pā ke aage baḌhī
to dekhā qatār ek laḌkoñ kī thī
zamurrad sī poshāk pahne hue
diye sab ke hāthoñ meñ jalte hue
vo chup-chāp the aage pīchhe ravāñ
ḳhudā jaane jaanā thā un ko kahāñ
isī soch meñ thī ki merā pisar
mujhe is jamā.at meñ aayā nazar
vo pīchhe thā aur tez chaltā na thā
diyā us ke hāthoñ meñ jaltā na thā
kahā maiñ ne pahchān kar merī jaañ
mujhe chhoḌ kar aa ga.e tum kahāñ
judā.ī meñ rahtī huuñ maiñ be-qarār
pirotī huuñ har roz ashkoñ ke haar
na parvā hamārī zarā tum ne kī
ga.e chhoḌ achchhī vafā tum ne kī
jo bachche ne dekhā mirā pech-o-tāb
diyā us ne muñh pher kar yuuñ javāb
rulātī hai tujh ko judā.ī mirī
nahīñ is meñ kuchh bhī bhalā.ī mirī
ye kah kar vo kuchh der tak chup rahā
diyā phir dikhā kar ye kahne lagā
samajhtī hai tū ho gayā kyā ise?
tire āñ.suoñ ne bujhāyā ise!
main soi jo ek shab to dekha ye KHwab
baDha aur jis se mera iztirab
ye dekha ki main ja rahi hun kahin
andhera hai aur rah milti nahin
larazta tha Dar se mera baal baal
qadam ka tha dahshat se uThna muhaal
jo kuchh hausla pa ke aage baDhi
to dekha qatar ek laDkon ki thi
zamurrad si poshak pahne hue
diye sab ke hathon mein jalte hue
wo chup-chap the aage pichhe rawan
KHuda jaane jaana tha un ko kahan
isi soch mein thi ki mera pisar
mujhe is jamaat mein aaya nazar
wo pichhe tha aur tez chalta na tha
diya us ke hathon mein jalta na tha
kaha main ne pahchan kar meri jaan
mujhe chhoD kar aa gae tum kahan
judai mein rahti hun main be-qarar
piroti hun har roz ashkon ke haar
na parwa hamari zara tum ne ki
gae chhoD achchhi wafa tum ne ki
jo bachche ne dekha mera pech-o-tab
diya us ne munh pher kar yun jawab
rulati hai tujh ko judai meri
nahin is mein kuchh bhi bhalai meri
ye kah kar wo kuchh der tak chup raha
diya phir dikha kar ye kahne laga
samajhti hai tu ho gaya kya ise?
tere aansuon ne bujhaya ise!
- Book : کلیات اقبال (Pg. 36)
- Author : علامہ اقبال
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس،دہلی (2014)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.