mera KHuda
jis ne banā.ī duniyā
jis ne basā.ī duniyā
haañ vo mirā ḳhudā hai
mujh ko bhī zindagī dī
tujh ko bhī zindagī dī
haañ vo mirā ḳhudā hai
us ne banā.e saare
ye chāñd aur taare
sūraj ko raushnī dī
phūloñ ko tāzgī dī
haañ vo mirā ḳhudā hai
letā huuñ naam us kā
kartā huuñ us kī puujā
vo merā rahnumā hai
vo merā aasrā hai
haañ vo mirā ḳhudā hai
jis ne banai duniya
jis ne basai duniya
han wo mera KHuda hai
mujh ko bhi zindagi di
tujh ko bhi zindagi di
han wo mera KHuda hai
us ne banae sare
ye chand aur tare
suraj ko raushni di
phulon ko tazgi di
han wo mera KHuda hai
leta hun nam us ka
karta hun us ki puja
wo mera rahnuma hai
wo mera aasra hai
han wo mera KHuda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.