Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mulamma ki anguThi

Ismail Merathi

mulamma ki anguThi

Ismail Merathi

MORE BYIsmail Merathi

    chāñdī añgūThī pe jo sone chaḌhā jhol

    ochhī thī lagī bolne itrā ke baḌā bol

    ai dekhne vaalo tumhī insāf se kahnā

    chāñdī añgūThī bhī hai kuchh gahnoñ meñ gahnā

    chāñdī añgūThī ke na maiñ saath rahūñgī

    vo aur hai maiñ aur ye zillat na sahūñgī

    maiñ qaum ūñchī huuñ baḌā merā gharānā

    vo zaat ghaTiyā hai nahīñ us Thikānā

    merī kahāñ chāshnī merā kahāñ rañg

    vo mol meñ aur tol meñ mere nahīñ pāssañg

    merī chamak us meñ na merī damak hai

    chāñdī hai ki hai raañg mujhe is meñ bhī shak hai

    ye sunte chāñdī añgūThī bhī ga.ī jal

    allāh-re mulamme añgūThī tere chhal-bal

    sone mulamme pe na itrā merī pyārī

    do din meñ bhaḌak us utar jā.egī saarī

    kuchh der haqīqat ko chhupāyā bhī to phir kyā

    jhūToñ ne jo sachchoñ ko chaḌhāyā bhī to phir kyā

    mat bhuul kabhī asal apnī arī ahmaq

    jab taav diyā jā.egā ho jā.egā muñh faq

    sachche to izzat baḌhegī jo kareñ jāñch

    mash.hūr masal hai ki nahīñ sāñch ko kuchh aañch

    khone ko kharā ban ke nikharnā nahīñ achchhā

    chhoTe ko baḌā ban ke ubharnā nahīñ achchhā

    chandi ki anguThi pe jo sone ka chaDha jhol

    ochhi thi lagi bolne itra ke baDa bol

    ai dekhne walo tumhi insaf se kahna

    chandi ki anguThi bhi hai kuchh gahnon mein gahna

    chandi ki anguThi ke na main sath rahungi

    wo aur hai main aur ye zillat na sahungi

    main qaum ki unchi hun baDa mera gharana

    wo zat ki ghaTiya hai nahin us ka Thikana

    meri si kahan chashni mera sa kahan rang

    wo mol mein aur tol mein mere nahin passang

    meri si chamak us mein na meri si damak hai

    chandi hai ki hai rang mujhe is mein bhi shak hai

    ye sunte hi chandi ki anguThi bhi gai jal

    allah-re mulamme ki anguThi tere chhal-bal

    sone ki mulamme pe na itra meri pyari

    do din mein bhaDak us ki utar jaegi sari

    kuchh der haqiqat ko chhupaya bhi to phir kya

    jhuTon ne jo sachchon ko chaDhaya bhi to phir kya

    mat bhul kabhi asal tu apni ari ahmaq

    jab taw diya jaega ho jaega munh faq

    sachche ki to izzat hi baDhegi jo karen jaanch

    mashhur masal hai ki nahin sanch ko kuchh aanch

    khone ko khara ban ke nikharna nahin achchha

    chhoTe ko baDa ban ke ubharna nahin achchha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now