nasihat
kare dushmanī koī tum se agar
jahāñ tak bane tum karo darguzar
karo tum na hāsid kī bātoñ pe ġhaur
jale jo koī us ko jalne do aur
agar tum se ho jaa.e sarzad qusūr
to iqrār o tauba karo bizzarūr
badī kī ho jis ne tumhāre ḳhilāf
jo chāhe muāfī to kar do muaaf
nahīñ, balki tum aur ehsāñ karo
bhalā.ī se us ko pashemāñ karo
hai sharmindagī us ke dil kā ilaaj
sazā aur malāmat kī kyā ehtiyāj
bhalā.ī karo to karo be-ġharaz
ġharaz kī bhalā.ī to hai ik maraz
jo muhtāj māñge to do tum udhār
raho vāpsī ke na ummīd-vār
jo tum ko ḳhudā ne diyā hai to do
na ḳhissat karo is meñ jo ho so ho
kare dushmani koi tum se agar
jahan tak bane tum karo darguzar
karo tum na hasid ki baaton pe ghaur
jale jo koi us ko jalne do aur
agar tum se ho jae sarzad qusur
to iqrar o tauba karo bizzarur
badi ki ho jis ne tumhaare KHilaf
jo chahe muafi to kar do muaf
nahin, balki tum aur ehsan karo
bhalai se us ko pasheman karo
hai sharmindagi us ke dil ka ilaj
saza aur malamat ki kya ehtiyaj
bhalai karo to karo be-gharaz
gharaz ki bhalai to hai ek maraz
jo muhtaj mange to do tum udhaar
raho wapsi ke na ummid-war
jo tum ko KHuda ne diya hai to do
na KHissat karo is mein jo ho so ho
- Book : Bchchaun ke ismail meruthi (Pg. 41)
- Author : Naeemuddin Zuberi
- Publication : maktaba jamia limited (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.