school-teacher
schōl ke hamāre
ustād pyāre pyāre
ham ko paḌhā rahe haiñ
insāñ banā rahe haiñ
kyā kyā nahī sikhāyā
yuuñ hausla baḌhāyā
baat an-sunī batā.ī
duniyā na.ī dikhā.ī
kī duur har burā.ī
tahzīb bhī sikhā.ī
karnā nahī laḌā.ī
hotī hai jag-hañsā.ī
hote haiñ baap saaya
un se ye dars paayā
ta.alīm kā asar hai
ūñchā hamārā sar hai
un kā jo ye amal hai
ehsān-e-be-badal hai
un kī kareñge izzat
paate raheñge shafqat
ḳhūbī 'farāġh' ne bhī
ustād kī bayāñ kī
school ke hamare
ustad pyare pyare
hum ko paDha rahe hain
insan bana rahe hain
kya kya nahi sikhaya
yun hausla baDhaya
baat an-suni batai
duniya nai dikhai
ki dur har burai
tahzib bhi sikhai
karna nahi laDai
hoti hai jag-hansai
hote hain bap saya
un se ye dars paya
talim ka asar hai
uncha hamara sar hai
un ka jo ye amal hai
ehsan-e-be-badal hai
un ki karenge izzat
pate rahenge shafqat
KHubi 'faragh' ne bhi
ustad ki bayan ki
- Book : Hum Bachche Hain Padhne Wale (Pg. 47)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.