sone walo jago
jaago sone vaalo jaago
vaqt ke khone vaalo jaago
baaġh meñ chiḌiyāñ bol rahī haiñ
kaliyāñ āñhkeñ khol rahī haiñ
phuul ḳhushī se jhuum rahe haiñ
pattoñ kā muñh chuum rahe haiñ
jaag uThe dariyā aur nahreñ
jaag uThīñ maujeñ aur lahreñ
naav chalāne vaale jaage
paar lagāne vaale jaage
saarī duniyā jaag rahī hai
kaam kī jānib bhaag rahī hai
likhne paḌhne vaalo jaago
phūlne baḌhne vaalo jaago
muñh dho-dhā kar nāshta khaao
basta le kar madrase jaao
sub.h kā sonā ḳhuub nahīñ hai
achchhā ye uslūb nahīñ hai
jaago sone vaalo jaago
vaqt ke khone vaalo jaago
jago sone walo jago
waqt ke khone walo jago
bagh mein chiDiyan bol rahi hain
kaliyan aanhken khol rahi hain
phul KHushi se jhum rahe hain
patton ka munh chum rahe hain
jag uThe dariya aur nahren
jag uThin maujen aur lahren
naw chalane wale jage
par lagane wale jage
sari duniya jag rahi hai
kaam ki jaanib bhag rahi hai
likhne paDhne walo jago
phulne baDhne walo jago
munh dho-dha kar nashta khao
basta le kar madrase jao
subh ka sona KHub nahin hai
achchha ye uslub nahin hai
jago sone walo jago
waqt ke khone walo jago
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.