ye baat samajh mein aai nahin
ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ
aur ammī ne samjhā.ī nahīñ
meñ kaise mīThī baat karūñ
jab maiñ ne miThā.ī khaa.ī nahīñ
aapī bhī pakātī haiñ halva
phir vo bhī kyuuñ halvā.ī nahīñ
ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ
naanī ke miyāñ to naanā haiñ
daadī ke miyāñ bhī daadā haiñ
jab aapā se maiñ ne ye pūchhā
baajī ke miyāñ kyā baajā haiñ
vo hañs hañs kar ye kahne lagīñ
ai bhaa.ī nahīñ ai bhaa.ī nahīñ
ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ
jab nayā mahīna aatā hai to
bijlī kā bil aa jaatā hai
hālāñki bādal bechāra
ye bijlī muft banātā hai
phir ham ne apne ghar bijlī
bādal se kyuuñ lagvā.ī nahīñ
ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ
gar billī sher kī ḳhāla hai
to ham ne use kyuuñ paalā hai
kyā sher bahut nālā.eq hai
ḳhāla ko maar nikālā hai
yā jangal ke raajā ke yahāñ
kyā miltī duudh malā.ī nahīñ
ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ
kyuuñ lambe baal haiñ bhālū ke
kyuuñ us kī TuñD karā.ī nahīñ
kyā vo bhī ganda bachcha hai
yā us ke abbū bhaa.ī nahīñ
ye us kā hair style hai
yā jangal meñ koī naa.ī nahīñ
ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ
jo taare jhilmil karte haiñ
kyā un kī chachchī taa.ī nahīñ
hogā koī rishta sūraj se
ye baat hameñ batlā.ī nahīñ
ye chandā kaisā maamā hai
jab ammī kā vo bhaa.ī nahīñ
ye baat samajh meñ aa.ī nahīñ
ye baat samajh mein aai nahin
aur ammi ne samjhai nahin
mein kaise miThi baat karun
jab main ne miThai khai nahin
aapi bhi pakati hain halwa
phir wo bhi kyun halwai nahin
ye baat samajh mein aai nahin
nani ke miyan to nana hain
dadi ke miyan bhi dada hain
jab aapa se main ne ye puchha
baji ke miyan kya baja hain
wo hans hans kar ye kahne lagin
ai bhai nahin ai bhai nahin
ye baat samajh mein aai nahin
jab naya mahina aata hai to
bijli ka bil aa jata hai
haalanki baadal bechaara
ye bijli muft banata hai
phir hum ne apne ghar bijli
baadal se kyun lagwai nahin
ye baat samajh mein aai nahin
gar billi sher ki KHala hai
to hum ne use kyun pala hai
kya sher bahut nalaeq hai
KHala ko mar nikala hai
ya jangal ke raja ke yahan
kya milti dudh malai nahin
ye baat samajh mein aai nahin
kyun lambe baal hain bhaalu ke
kyun us ki TunD karai nahin
kya wo bhi ganda bachcha hai
ya us ke abbu bhai nahin
ye us ka hair style hai
ya jangal mein koi nai nahin
ye baat samajh mein aai nahin
jo tare jhilmil karte hain
kya un ki chachchi tai nahin
hoga koi rishta suraj se
ye baat hamein batlai nahin
ye chanda kaisa mama hai
jab ammi ka wo bhai nahin
ye baat samajh mein aai nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.