chopin ka naghma bajta hai
Interesting Fact
The two Nazms are derived from Qasan Qali, the poet of Qafqar
(2)
chhalnī hai añdhere kā sīna, barkhā ke bhāle barse haiñ
dīvāroñ ke aañsū haiñ ravāñ ghar ḳhāmoshī meñ Duube haiñ
paanī meñ nahā.e haiñ buuTe
galiyoñ meñ hū kā pherā hai
'chopin' kā naġhma bajtā hai
ik ġham-gīñ laḌkī ke chehre par chāñd kī zardī chhā.ī hai
jo barf girī thī is pe lahū ke chhīñToñ kī rushnā.ī hai
ḳhuuñ kā har daaġh damaktā hai
'chopin' kā naġhma bajtā hai
kuchh āzādī ke matvāle, jaañ kaf pe liye maidāñ meñ ga.e
har-sū dushman kā narġha thaa, kuchh bach nikle, kuchh khet rahe
aalam meñ un kā shohra hai
'chopin' kā naġhma bajtā hai
ik kuuñj ko sakhiyāñ chhoḌ ga.iiñ ākāsh kī niilī rāhoñ meñ
vo yaad meñ tanhā rotī thii, lipTā.e apnī bāhoñ meñ
ik shāhīñ us par jhapTā hai
'chopin' kā naġhma bajtā hai
ġham ne sāñche meñ Dhālā hai
ik baap ke patthar chehre ko
murda beTe ke māthe ko
ik maañ ne ro kar chūmā hai
'chopin' kā naġhma bajtā hai
phir phūloñ kī rut lauT aa.ī
aur chāhne vāloñ kī gardan meñ jhūle Daale bāhoñ ne
phir jharne nāche chhan chhan chhan
ab bādal hai na barkhā hai
'chopin' kā naġhma bajtā hai
(2)
chhalni hai andhere ka sina, barkha ke bhaale barse hain
diwaron ke aansu hain rawan ghar KHamoshi mein Dube hain
pani mein nahae hain buTe
galiyon mein hu ka phera hai
'chopin' ka naghma bajta hai
ek gham-gin laDki ke chehre par chand ki zardi chhai hai
jo barf giri thi is pe lahu ke chhinTon ki rushnai hai
KHun ka har dagh damakta hai
'chopin' ka naghma bajta hai
kuchh aazadi ke matwale, jaan kaf pe liye maidan mein gae
har-su dushman ka nargha tha, kuchh bach nikle, kuchh khet rahe
aalam mein un ka shohra hai
'chopin' ka naghma bajta hai
ek kunj ko sakhiyan chhoD gain aakash ki nili rahon mein
wo yaad mein tanha roti thi, lipTae apni bahon mein
ek shahin us par jhapTa hai
'chopin' ka naghma bajta hai
gham ne sanche mein Dhaala hai
ek bap ke patthar chehre ko
murda beTe ke mathe ko
ek man ne ro kar chuma hai
'chopin' ka naghma bajta hai
phir phulon ki rut lauT aai
aur chahne walon ki gardan mein jhule Dale bahon ne
phir jharne nache chhan chhan chhan
ab baadal hai na barkha hai
'chopin' ka naghma bajta hai
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 630)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.