chor-bazar
kaaTh ke bail mard, shīshe kī
putliyāñ aurteñ, pasīne kī
būñdiyāñ, gul mahak shamīm-e-badan
chāk-e-dil zaḳhm-e-jeb-o-pairāhan
car, lārī, kivāḌ āñkheñ, fan,
la.al-o-almās āhan-o-faulād
qahqahe, chahchahe, fuġhāñ, fariyād
soii, hāthī, anāth, bachche, dil
tishnagī, talḳhiyāñ, tajallī, diid
kaun sī aas, kaun sī ummīd
kaun sī jins chāhiye tujh ko
har zarūrat kā maal hāzir hai
maal ye sab kahāñ se aatā hai
bechtā kaun, kaun laatā hai
kis se kis ne ise ḳharīdā hai
kitne dāmoñ ye uThtā jaatā hai
bamba.ī kī ariiz saḌkoñ par
jab koī taaza jins duniyā kī
koī nikhrā hasīn-ruḳh, maiñ ne
koī lahkī huī jabīñ dekhī
yahī dil meñ ḳhayāl aayā hai
tajarba-kār koī saudāgar
koī dallāl yā koī sāriq
sar-e-bāzār us ko laayā hai
jaane kis roz biich Dālegā
vo bhī aise ki us ke dāmoñ kā
dūsre haath ko pata na chale
jaane kis roz kitne darvāze
chhū ke ye jins-e-be-bahā āḳhir
kisī fōtpath ke kināre par
''lāT kī lāT'' ban ke uTh jaa.e
zindagī hai ki maal sariqe kā
chor-bāzār hai ki duniyā hai!
kaTh ke bail mard, shishe ki
putliyan aurten, pasine ki
bundiyan, gul mahak shamim-e-badan
chaak-e-dil zaKHm-e-jeb-o-pairahan
car, lari, kiwaD aankhen, fan,
lal-o-almas aahan-o-faulad
qahqahe, chahchahe, fughan, fariyaad
soi, hathi, anath, bachche, dil
tishnagi, talKHiyan, tajalli, did
kaun si aas, kaun si ummid
kaun si jins chahiye tujh ko
har zarurat ka mal hazir hai
mal ye sab kahan se aata hai
bechta kaun, kaun lata hai
kis se kis ne ise KHarida hai
kitne damon ye uThta jata hai
bambai ki ariz saDkon par
jab koi taza jins duniya ki
koi nikhra hasin-ruKH, main ne
koi lahki hui jabin dekhi
yahi dil mein KHayal aaya hai
tajarba-kar koi saudagar
koi dallal ya koi sariq
sar-e-bazar us ko laya hai
jaane kis roz bich Dalega
wo bhi aise ki us ke damon ka
dusre hath ko pata na chale
jaane kis roz kitne darwaze
chhu ke ye jins-e-be-baha aaKHir
kisi footpath ke kinare par
laT ki laT ban ke uTh jae
zindagi hai ki mal sariqe ka
chor-bazar hai ki duniya hai!
- Book : aaina dar aaina (Pg. 90)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.