chor
so ga.ī raat bahut der huī
thak ke leTī thī kisī rāhguzar par
kisī kamre kisī vīrāne meñ
kisī masjid kisī mai-ḳhāne meñ
kisī patthar ke sutūñ se Tik kar
kisī dīvār ke siine se lagā.e hue sar
so ga.ī raat bahut der huī
chāñd bhī Duub gayā
taare bad-ḳhvāh paḌosī kī tarah ġhaur se dekh rahe haiñ
ki kisī aur paḌosī ke yahāñ
raushnī kaisī hai kyā hotā hai
aao
aaise maiñ ne dekhe dekhegā koī
aao aur mujh ko churā le jaao
so gai raat bahut der hui
thak ke leTi thi kisi rahguzar par
kisi kamre kisi virane mein
kisi masjid kisi mai-KHane mein
kisi patthar ke sutun se Tik kar
kisi diwar ke sine se lagae hue sar
so gai raat bahut der hui
chand bhi Dub gaya
tare bad-KHwah paDosi ki tarah ghaur se dekh rahe hain
ki kisi aur paDosi ke yahan
raushni kaisi hai kya hota hai
aao
aaise main ne dekhe dekhega koi
aao aur mujh ko chura le jao
- Book : ajnabi-shahr-ajnabi-raaste(rekhta website) (Pg. 157)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.