chori-shuda KHwab ki talash
jab raat
ḳhvāboñ ke silsile le kar utartī hai
to shab-zāde apne ḳhvāb sajā kar so jaate haiñ
magar merī vīrān ā.ankhoñ se
niiñd ye kah kar ruḳhsat ho jaatī hai
ki mujhe sirf un ā.ankhoñ meñ raat kāTnī hai
jahāñ ḳhvāboñ kī hukmarānī hai
magar use ye kaun batā.e ki
merā ḳhvāb ek muddat se lāpata hai
tab se merī ā.ankhoñ ne niiñd kā zā.iqa nahīñ chakhā
maiñ ne shab ko apne gum-shuda ḳhvāb kī alāmateñ batā.īñ
to vo dhīre se muskurā dī aur bolī:
''maiñ ne sab se anmol ḳhvāb tumhārī ā.ankhoñ meñ sajāyā thā''
ye kah kar shab ne har aañkh meñ chhāpe maare
magar merā ḳhvāb barāmad na huā
is ne kahā:
''tumhārā ḳhvāb tumhāre andar se churāyā gayā hai
agar tum apnī nasl ko be-ḳhvābī ke azaab se bachānā chāhte ho
to tumheñ apnā ḳhvāb ḳhud hī DhūñDhnā paḌegā''
tab se maiñ rat-jagoñ kī nigahbānī meñ
apne andar se
apnā chorī-shuda ḳhvāb talāsh kar rahā huuñ
jab raat
KHwabon ke silsile le kar utarti hai
to shab-zade apne KHwab saja kar so jate hain
magar meri viran aaankhon se
nind ye kah kar ruKHsat ho jati hai
ki mujhe sirf un aaankhon mein raat kaTni hai
jahan KHwabon ki hukmarani hai
magar use ye kaun batae ki
mera KHwab ek muddat se lapata hai
tab se meri aaankhon ne nind ka zaiqa nahin chakha
main ne shab ko apne gum-shuda KHwab ki alamaten batain
to wo dhire se muskura di aur boli:
main ne sab se anmol KHwab tumhaari aaankhon mein sajaya tha
ye kah kar shab ne har aankh mein chhape mare
magar mera KHwab baramad na hua
is ne kaha:
tumhaara KHwab tumhaare andar se churaya gaya hai
agar tum apni nasl ko be-KHwabi ke azab se bachana chahte ho
to tumhein apna KHwab KHud hi DhunDhna paDega
tab se main rat-jagon ki nigahbani mein
apne andar se
apna chori-shuda KHwab talash kar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.