choT
ik ro.e chalā.e taḌpe kalpe aur kalpā.e
ik ik se kahe rām-kahānī
dil kā dard batā.e
man kī choT dikhā bechāra saudā.ī kahlā.e
ik jhallā.e taish meñ aa.e
biphre aur bal khaa.e
aañsū pī pī kar rah jaa.e
jaan pe dukh sah jaa.e
tere saath laḌā.ī Thāne lekin muñh kī khaa.e
ik chhup chhup kar niir bahā.e
man ko ye samjhā.e
chup chup jaan pe sah jā pagle
īshvar kā annyā.e
apnī aan bachā.e lekin vo paapī ban jaa.e
maiñ terī karnī par raazī
muñh se na nikle haa.e
mere man kā ghaav phir bhī gahrā hotā jaa.e
jag kī āñkheñ band kiye hai ye kaayā kī oT
merī duunī ho ga.ī choT
ek roe chalae taDpe kalpe aur kalpae
ek ek se kahe ram-kahani
dil ka dard batae
man ki choT dikha bechaara saudai kahlae
ek jhallae taish mein aae
biphre aur bal khae
aansu pi pi kar rah jae
jaan pe dukh sah jae
tere sath laDai Thane lekin munh ki khae
ek chhup chhup kar nir bahae
man ko ye samjhae
chup chup jaan pe sah ja pagle
ishwar ka annyae
apni aan bachae lekin wo papi ban jae
main teri karni par raazi
munh se na nikle hae
mere man ka ghaw phir bhi gahra hota jae
jag ki aankhen band kiye hai ye kaya ki oT
meri duni ho gai choT
- Naam-o-Nang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.