christmas
aayā hai tyauhār christmas
bāñTe sab ko pyaar christmas
maiñ laayā huuñ pyāre tohfe
dekho kitne saare tohfe
guḌiyā kaisī aalī laayā
guDDā dāḌhī vaalā laayā
jis ke paas hoñ paise le lo
jī chāhe to vaise le lo
tohfe pā kar sab boleñge
aa.e yuuñ har baar christmas
bāñTe sab ko pyaar christmas
rañgīle ġhubbāre le lo
goyā chāñd sitāre le lo
chaltī phirtī motor le lo
Dhol bajātā bandar le lo
dekho aa kar ḳhuub tamāshā
aao jaane aao 'pāshā'
agle saal maiñ phir ā.uñgā
jab aa.egā yaar christmas
bāñTe sab ko pyaar christmas
aaya hai tyauhaar christmas
banTe sab ko pyar christmas
main laya hun pyare tohfe
dekho kitne sare tohfe
guDiya kaisi aali laya
guDDa daDhi wala laya
jis ke pas hon paise le lo
ji chahe to waise le lo
tohfe pa kar sab bolenge
aae yun har bar christmas
banTe sab ko pyar christmas
rangile ghubbare le lo
goya chand sitare le lo
chalti phirti motor le lo
Dhol bajata bandar le lo
dekho aa kar KHub tamasha
aao jaane aao 'pasha'
agle sal main phir aaunga
jab aaega yar christmas
banTe sab ko pyar christmas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.