chuha
ek bose ne
tumheñ aurat banā diyā
aur use tabdīl kar diyā
ek chūhe meñ
ye chuhā
balliyoñ ko dekh kar
Darā sahmā
shahr kī galiyoñ meñ
ghus jaatā hai
DhūñDtā rahtā hai din bhar
apnī vahshat kā sirā
mubāsharat kī jagah
āvāragardī kartā hai
un se kah do
apne jism ko dikhāne kā
svāñg na rachāeñ
chuhā sochtā hai
pāgal āñkheñ
un ke badan ke kisī bhī hisse meñ
dāḳhil ho saktī haiñ
ek bose ne
tumhein aurat bana diya
aur use tabdil kar diya
ek chuhe mein
ye chuha
balliyon ko dekh kar
Dara sahma
shahr ki galiyon mein
ghus jata hai
DhunDta rahta hai din bhar
apni wahshat ka sira
mubasharat ki jagah
aawaragardi karta hai
un se kah do
apne jism ko dikhane ka
swang na rachaen
chuha sochta hai
pagal aankhen
un ke badan ke kisi bhi hisse mein
daKHil ho sakti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.