chuha
hai mire paas ik mirā chuhā
ḳhūbsūrat sā dil-rubā chuhā
dum bhī chūhe kī sar bhī chūhe kā
hai mirā chuhā bas nirā chuhā
billī ko bhī sabaq paḌhātā hai
hai bahut hī paḌhā-likhā chuhā
mere chūhe ko koī kuchh na kahe
mirā chuhā hai lāDlā chuhā
so gayā dekh kar vo billī ko
log samjhe ki mar gayā chuhā
harkateñ us kī sab dileroñ kī
kaam kā sher naam kā chuhā
do hī chūhe haiñ saarī duniyā meñ
ik mirā chuhā ik tirā chuhā
chuhā dekhā to ro paḌī billī
billī dekhī to hañs diyā chuhā
baat ik bhī sunī na billī ne
umr bhar chīḳhtā rahā chuhā
jitne chūhe haiñ mere chūhe haiñ
ye mirā chuhā vo mirā chuhā
tere chūhe ko khā ga.ī billī
merī billī ko khā gayā chuhā
kal laḌā.ī huī thī donoñ meñ
mar ga.ī billī bach gayā chuhā
hai mere pas ek mera chuha
KHubsurat sa dil-ruba chuha
dum bhi chuhe ki sar bhi chuhe ka
hai mera chuha bas nira chuha
billi ko bhi sabaq paDhata hai
hai bahut hi paDha-likha chuha
mere chuhe ko koi kuchh na kahe
mera chuha hai laDla chuha
so gaya dekh kar wo billi ko
log samjhe ki mar gaya chuha
harkaten us ki sab dileron ki
kaam ka sher nam ka chuha
do hi chuhe hain sari duniya mein
ek mera chuha ek tera chuha
chuha dekha to ro paDi billi
billi dekhi to hans diya chuha
baat ek bhi suni na billi ne
umr bhar chiKHta raha chuha
jitne chuhe hain mere chuhe hain
ye mera chuha wo mera chuha
tere chuhe ko kha gai billi
meri billi ko kha gaya chuha
kal laDai hui thi donon mein
mar gai billi bach gaya chuha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.