chunaw
chaar baras ke
maile kuchle
duble-patle laḌke meñ thī
ġhazab kī phurtī
chaurāhe par ek taraf kī harī light se
dūsrī samt kī laal light tak
bijlī kī tezī se vo aatā jaatā thā
jo mil jaa.e us ke aage
phailātā thā apnī hathelī
jis meñ
ḳhush-hālī aur lambe jīvan kī
rekhā.eñ thiiñ
chaurāhe tak hī mahdūd thī us kī duniyā
jis ko us ne nahīñ chunā thā
traffic light ke ird-gard thā us kā jīvan
vo bhī us ne nahīñ chunā thā
TuuTe pul ke nīche us kā janam huā thā
vo bhī us ne nahīñ chunā thā
kal shab
traffic light ko toḌne vaale Truck se dab kar
maut ho ga.ī us kī
vo bhī us ne nahīñ chunī thī
chaar baras ke
maile kuchle
duble-patle laDke mein thi
ghazab ki phurti
chaurahe par ek taraf ki hari light se
dusri samt ki lal light tak
bijli ki tezi se wo aata jata tha
jo mil jae us ke aage
phailata tha apni hatheli
jis mein
KHush-haali aur lambe jiwan ki
rekhaen thin
chaurahe tak hi mahdud thi us ki duniya
jis ko us ne nahin chuna tha
traffic light ke ird-gard tha us ka jiwan
wo bhi us ne nahin chuna tha
TuTe pul ke niche us ka janam hua tha
wo bhi us ne nahin chuna tha
kal shab
traffic light ko toDne wale Truck se dab kar
maut ho gai us ki
wo bhi us ne nahin chuni thi
- Book : Namak (Pg. 109)
- Author : Subodh Saaqi
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.