chunauti
maiñ siitā huuñ tum raam bano
maiñ pāvan ghar kī raanī huuñ
parivār chalāne vaalī huuñ
is desh kī maiñ rakhvālī huuñ
sammān baḌhāne vaalī huuñ
maiñ vachan nibhāne vaalī huuñ
maiñ siitā huuñ tum raam bano
tum ban ke bhauñrā kalī kalī
mañDlāte ho uḌ jaate ho
vishvās mahal kī dīvāreñ
har roz ḳhud hī tum dhāte ho
vishvās mahal kī dīvāreñ
maiñ roz uThāyā kartī huuñ
maiñ siitā huuñ tum raam bano
sach kahnā sach ke motī se
kyā pyaar kā āñchal bhar doge
vishvās nibhāne kī ḳhātir
kyā agnī parikshā de doge
main sita hun tum ram bano
main pawan ghar ki rani hun
pariwar chalane wali hun
is desh ki main rakhwali hun
samman baDhane wali hun
main wachan nibhane wali hun
main sita hun tum ram bano
tum ban ke bhaunra kali kali
manDlate ho uD jate ho
wishwas mahal ki diwaren
har roz KHud hi tum dhate ho
wishwas mahal ki diwaren
main roz uThaya karti hun
main sita hun tum ram bano
sach kahna sach ke moti se
kya pyar ka aanchal bhar doge
wishwas nibhane ki KHatir
kya agni pariksha de doge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.