maiñ
tumheñ apnī qabr kī miTTī se
khilaune banāne kī ijāzat nahīñ de saktā
tum agar chāho to
is miTTī se koī giit bun saktī ho
yā koī dīvār chun saktī ho
chunī huī dīvār meñ dar
mere nāloñ kī zimmedārī hai
ye to meñ chunī huī dīvār kī baat kar rahā huuñ
ye āsmān bhī merī dastaras se bāhar nahīñ hai
main
tumhein apni qabr ki miTTi se
khilaune banane ki ijazat nahin de sakta
tum agar chaho to
is miTTi se koi git bun sakti ho
ya koi diwar chun sakti ho
chuni hui diwar mein dar
mere nalon ki zimmedari hai
ye to mein chuni hui diwar ki baat kar raha hun
ye aasman bhi meri dastaras se bahar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.