Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chup

raat kaalī bārish ne

chehroñ vardī

kīchaḌ se bhar hai

mere siine ke pinjre meñ

ḳhuun gardish karne vaalā laTTū

nafrat ke paudoñ ke uupar

ghuum rahā hai

tum ne aise kāñTe

merī shiryānoñ meñ bo.e haiñ

aisī dopahroñ zardī

mere gāloñ pe liipī hai

ki maiñ bistar shiknoñ meñ

apnī āñkheñ bo kar rotā huuñ

pahlī baar jab ġham putlī qaash ko

chehre se nochā thā

jab ġhurbat ke aurāq

havā meñ uḌte the

jab ḳhālī me.ade tasvīr banā kar

us meñ chīzeñ rakhtā thā

phaTe hue kapḌoñ meñ jab

tasvīr chhupā kar rakhtā thā

merī shahvat

kuñvār pane dahlīzoñ par

apnā ḳhutba likhtī thī

biis baras un galiyoñ dīvāroñ se

Takrā Takrā kar

mere kañdhe ret ke pushte ban kar

Dhete jaate haiñ

maiñ jo terī rānoñ ke jañgal meñ

kaale phuul ko toḌne niklā thā

ab dekh rahā huuñ

dil korī miTTī meñ

tere jism patlī shāḳheñ ugī huī thiiñ

aur ik āvāra sannāTā

chhatoñ par bhārī qadmoñ se

baḌī āhistagī ke saath chaltā hai

to vo chupke se mere paas aatī hai

aur apne dhīme lahje meñ

vo saarī dāstāneñ kah sunātī hai

jinheñ sun kar maiñ dhīmī aañch par

pahroñ sulagtā huuñ

kisī girje ke vīrāñ lawn meñ

jab january

apne sunahrī gesuoñ ko khol kar

koī purānā giit gaatī hai

to vo ik an-chhūī nan tarah

patthar ke benchoñ par

mire kāñdhe par sar rakhe

mire chehre pe apnī uñgliyoñ meñ

kabhī jab shaam rotī hai

siyah kaafī ke pyāloñ se

lapaktī bhaap meñ

phir āñdhī aamad se aisī gard huī

aisā habs mirī sāñsoñ meñ phailā

tere jism kashtī meñ

maiñ apne kapḌe bhuul aayā

par tum ne aadhī raat ko aisī chuTkī

niiñd Dholak

ghuTnoñ zarboñ se chaknāchūr huī

ab muñh se shīra bahtā hai

un zaḳhmoñ

jin ke Tāñke andar andar TuuTe haiñ

bijlī tāroñ ke uupar

kavve qatār meñ baiThe haiñ

bārish ke paanī meñ jin ke

askarī baazū hilte haiñ

rānoñ ye niilī varīdeñ

jin meñ duā naqshī kuuza

ulaT gayā hai

maiñ ne un galiyoñ meñ

apne marne afvāh sunī hai

ḳhush-ilhān mo.azzin

āvāz se chiḌiyāñ uḌtī haiñ

ai rastoñ rādhā

tere vasl ḳhātir

jism ke nijī hisse dho kar

lauT ke phir maiñ aayā huuñ

mere badan pe

sabr ke niile dhabbe haiñ

pusht pe

ham-jinsī ke aañsū haiñ

niim ke peḌ ke DanThal haiñ

jo merī kamar meñ bo.e haiñ

kachnār ke sūkhe patte haiñ

maiñ jin ko pakā kar khātā huuñ

chaar dahā.īyoñ se maiñ gande

parnāle ke nīche istāda huuñ

samajh rahā huuñ

chup bārish ye mailā paanī hai

ye paanī jo siine ke bāloñ se gir kar

fotoñ ko tar kartā hai

Dol meñ bhar kar

shor ālūd zamīñ par

girtā jaatā hai

merī chup ne

rastoñ ko pāmāl kiyā hai

merī chup ne saañp kunDlī meñ se

zahr nichoḌā hai

mujh ko apne kandhoñ ke

zerīñ hissoñ ke hamle se

be-quvvat kar Daalā hai

raat ki kali barish ne

chehron ki wardi

kichaD se bhar di hai

mere sine ke pinjre mein

KHun ka gardish karne wala laTTu

nafrat ke paudon ke upar

ghum raha hai

tum ne aise kanTe

meri shiryanon mein boe hain

aisi dopahron ki zardi

mere galon pe lipi hai

ki main bistar ki shiknon mein

apni aankhen bo kar rota hun

pahli bar jab gham ki putli qash ko

chehre se nocha tha

jab ghurbat ke auraq

hawa mein uDte the

jab KHali meade ki taswir bana kar

us mein chizen rakhta tha

phaTe hue kapDon mein jab

taswir chhupa kar rakhta tha

meri shahwat

kunwar pane ki dahlizon par

apna KHutba likhti thi

bis baras un galiyon ki diwaron se

Takra Takra kar

mere kandhe ret ke pushte ban kar

Dhete jate hain

main jo teri ranon ke jangal mein

kale phul ko toDne nikla tha

ab dekh raha hun

dil ki kori miTTi mein

tere jism ki patli shaKHen ugi hui thin

aur ek aawara sannaTa

chhaton par bhaari qadmon se

baDi aahistagi ke sath chalta hai

to wo chupke se mere pas aati hai

aur apne dhime lahje mein

wo sari dastanen kah sunati hai

jinhen sun kar main dhimi aanch par

pahron sulagta hun

kisi girje ke viran lawn mein

jab january

apne sunahri gesuon ko khol kar

koi purana git gati hai

to wo ek an-chhui nan ki tarah

patthar ke benchon par

mere kandhe par sar rakhe

mere chehre pe apni ungliyon mein

kabhi jab sham roti hai

siyah kafi ke pyalon se

lapakti bhap mein

phir aandhi ki aamad se aisi gard hui

aisa habs meri sanson mein phaila

tere jism ki kashti mein

main apne kapDe bhul aaya

par tum ne aadhi raat ko aisi chuTki li

nind ki Dholak

ghuTnon ki zarbon se chaknachur hui

ab munh se shira bahta hai

un zaKHmon ka

jin ke Tanke andar hi andar TuTe hain

bijli ki taron ke upar

kawwe qatar mein baiThe hain

barish ke pani mein jin ke

askari bazu hilte hain

ranon ki ye nili wariden

jin mein dua ka naqshi kuza

ulaT gaya hai

main ne un galiyon mein

apne marne ki afwah suni hai

KHush-ilhan moazzin ki

aawaz se chiDiyan uDti hain

ai raston ki radha

tere wasl ki KHatir

jism ke niji hisse dho kar

lauT ke phir main aaya hun

mere badan pe

sabr ke nile dhabbe hain

pusht pe

ham-jinsi ke aansu hain

nim ke peD ke DanThal hain

jo meri kamar mein boe hain

kachnar ke sukhe patte hain

main jin ko paka kar khata hun

chaar dahaiyon se main gande

parnale ke niche istada hun

samajh raha hun

chup ki barish ka ye maila pani hai

ye pani jo sine ke baalon se gir kar

foton ko tar karta hai

Dol mein bhar kar

shor aalud zamin par

girta jata hai

meri chup ne

raston ko pamal kiya hai

meri chup ne sanp ki kunDli mein se

zahr nichoDa hai

mujh ko apne kandhon ke

zerin hisson ke hamle se

be-quwwat kar Dala hai

Source :
  • Book : Jalta Hai Badan (Pg. 80)
  • Author : Zahid Hasan
  • Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
  • Edition : 2002

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now