chup
tū ne sard havāoñ kī zabāñ sīkhī hai
tere ThanDe lams se dhaḌkaneñ yaḳh-basta huiiñ aur maiñ chup huuñ
maiñ ne vaqt-e-sub.h chiḌiyoñ kī surīlī chahchahāhaT ko sunā hai
aur mere zehn ke sāgar meñ naġhme bulbule ban kar uThe haiñ
tere kaḌve bol se har-sū haiñ āvāzoñ ke lāshe
aur maiñ chup huuñ
maiñ ne vo māsūm pyāre gul-badan dekhe haiñ
jin ke marmarīñ jismoñ meñ pākīza mohabbat ke nasheman haiñ
tire in khurdure hāthoñ ne ye saare nasheman noch Daale
aur maiñ chup huuñ
maiñ ne dekhe haiñ vo chehre chāñd jaise ġhuncha-sūrat
jin kī āñkheñ aa.ina haiñ aane vaale mausamoñ kā
tū ne un āñkhoñ meñ bhī kāñTe chubho.e
aur maiñ chup huuñ
bā-kamāl o bā-safā vo log bhī dekhe haiñ maiñ ne
jin ke hoñToñ se khile haiñ sidq o dānā.ī ke phuul
tū ne un hoñToñ ko gholā zahr meñ
aur maiñ chup huuñ
tu ne sard hawaon ki zaban sikhi hai
tere ThanDe lams se dhaDkanen yaKH-basta huin aur main chup hun
main ne waqt-e-subh chiDiyon ki surili chahchahahaT ko suna hai
aur mere zehn ke sagar mein naghme bulbule ban kar uThe hain
tere kaDwe bol se har-su hain aawazon ke lashe
aur main chup hun
main ne wo masum pyare gul-badan dekhe hain
jin ke marmarin jismon mein pakiza mohabbat ke nasheman hain
tere in khurdure hathon ne ye sare nasheman noch Dale
aur main chup hun
main ne dekhe hain wo chehre chand jaise ghuncha-surat
jin ki aankhen aaina hain aane wale mausamon ka
tu ne un aankhon mein bhi kanTe chubhoe
aur main chup hun
ba-kamal o ba-safa wo log bhi dekhe hain main ne
jin ke honTon se khile hain sidq o danai ke phul
tu ne un honTon ko ghola zahr mein
aur main chup hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.