chup na raho
shab kī tārīkī meñ ik aur sitāra TuuTā
tauq toḌe ga.e TuuTī zanjīr
jagmagāne lagā tarshe hue hiire kī tarah
ādamiyyat kā zamīr
phir añdhere meñ kisī haath meñ ḳhanjar chamkā
shab ke sannāTe meñ phir ḳhuun ke dariyā chamke
sub.h-dam jab mire darvāze se guzrī hai sabā
apne chehre pe male ḳhūn-e-sahar guzrī hai
ḳhair ho majlis-e-aqvām kī sultānī kī
ḳhair ho haq kī sadāqat kī jahāñbānī kī
aur ūñchī huī sahrā meñ umīdoñ kī salīb
aur ik qatra-e-ḳhūñ chashm-e-sahar se Tapkā
jab talak dahr meñ qātil kā nishāñ baaqī hai
tum miTāte hī chale jaao nishāñ qātil ke
roz ho jashn-e-shahīdān-e-vafā chup na raho
baar baar aatī hai maqtal se sadā chup na raho
chup na raho!
shab ki tariki mein ek aur sitara TuTa
tauq toDe gae TuTi zanjir
jagmagane laga tarshe hue hire ki tarah
aadamiyyat ka zamir
phir andhere mein kisi hath mein KHanjar chamka
shab ke sannaTe mein phir KHun ke dariya chamke
subh-dam jab mere darwaze se guzri hai saba
apne chehre pe male KHun-e-sahar guzri hai
KHair ho majlis-e-aqwam ki sultani ki
KHair ho haq ki sadaqat ki jahanbani ki
aur unchi hui sahra mein umidon ki salib
aur ek qatra-e-KHun chashm-e-sahar se Tapka
jab talak dahr mein qatil ka nishan baqi hai
tum miTate hi chale jao nishan qatil ke
roz ho jashn-e-shahidan-e-wafa chup na raho
bar bar aati hai maqtal se sada chup na raho
chup na raho!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.