chupke se
kal raat kahānī pariyoñ kī
baajī ne sunā.ī chupke se
phir dhīre dhīre havā chalī
aur nindiyā aa.ī chupke se
halke the kahīñ gahre the kahīñ
rañgoñ kī vo bārish dekhī thī
thiiñ jis meñ bahut sī tasvīreñ
ham ne vo numā.ish dekhī thī
phir sab se chhupā ke ham ne bhī
tasvīr banā.ī chupke se
fursat jo milī to ham yuuñ hī
kuchh vaqt bitāne baiThe the
garmī ke dinoñ meñ Dholak par
ik giit sunāne baiThe the
maġhrib kī taraf se itne meñ
badlī bhī ghir aa.ī chupke se
kal raat kahani pariyon ki
baji ne sunai chupke se
phir dhire dhire hawa chali
aur nindiya aai chupke se
halke the kahin gahre the kahin
rangon ki wo barish dekhi thi
thin jis mein bahut si taswiren
hum ne wo numaish dekhi thi
phir sab se chhupa ke hum ne bhi
taswir banai chupke se
fursat jo mili to hum yun hi
kuchh waqt bitane baiThe the
garmi ke dinon mein Dholak par
ek git sunane baiThe the
maghrib ki taraf se itne mein
badli bhi ghir aai chupke se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.