chu-mantar
khā.eñ chuqandar chū-mantar
laal TamāTar chū-mantar
antar mantar chū-mantar
kaal kalantar chū-mantar
tujh meñ mujh meñ
kyā hai antar chū-mantar
bol qalandar chū-mantar
bol re kuchh to muñh se bol
baat meñ terī zahar kā ghol
indar bāhar ḳhol hī ḳhol
baiTh ke suniye duur ke Dhol
andar bāhar chū-mantar
band hai muTThī mere yaar
is kā khulnā hai dushvār
ho jaao tum bhī tayyār
kheleñ mil kar khel hazār
saat samundar chū-mantar
antar mantar chū-mantar
khaen chuqandar chu-mantar
lal TamaTar chu-mantar
antar mantar chu-mantar
kal kalantar chu-mantar
tujh mein mujh mein
kya hai antar chu-mantar
bol qalandar chu-mantar
bol re kuchh to munh se bol
baat mein teri zahar ka ghol
indar bahar KHol hi KHol
baiTh ke suniye dur ke Dhol
andar bahar chu-mantar
band hai muTThi mere yar
is ka khulna hai dushwar
ho jao tum bhi tayyar
khelen mil kar khel hazar
sat samundar chu-mantar
antar mantar chu-mantar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.