chyunTi-bhar aaTa
ham kis dukh se apne makān faroḳht karte haiñ
aur bhuuk ke liye chyūñTī-bhar aaTā ḳharīdte haiñ
hameñ band kamroñ meñ kyuuñ piro diyā gayā hai
ek din kī umr vaale to abhī darvāza taak rahe haiñ
chaal lahū kī buuñd buuñd maañg rahī hai
kisī ko churānā ho to sab se pahle us ke qadam churāo
tum chīthḌe par baiThe zabān pe phuul ho
aur āvāz kor sī kor
insān kā piyāla samundar ke pyāle se miTTī nikāltā hai
miTTī ke saañp banātā hai aur bhuuk pāltā hai
tinke jab shuāoñ kī pyaas na bujhā sake to aag lagī
maiñ ne aag ko dhoyā aur dhuup ko sukhāyā
sūraj jo din kā siina jalā rahā thā
āsmānī rañg se bhar diyā
ab āsmān kī jagah korā kāġhaz bichhā diyā gayā
log mausam se dhokā khāne lage
phir ek aadmī ko toḌ kar maiñ ne sūraj banāyā
logoñ kī poreñ kueñ meñ bhar diiñ
aur āsmān ko dhāga kiyā
kā.enāt ko na.ī karvaT nasīb huī
logoñ ne īñToñ ke makān banānā chhoḌ diye
āñkhoñ kī zabān-darāzī rañg laa.ī
ab ek qadam pe din aur ek qadam pe raat hotī
haal jur.at-e-guzishta hai
aa tere bāloñ se shuāoñ ke ilzām uThā luuñ
tum apnī sūrat pahāḌ kī khoh meñ ishāra kar aa.e
kund havāoñ kā e'tirāf hai
safar eḌī pe khaḌā huā
samundar aur miTTī ne ronā shurūa kar diyā hai
belche aur baazū ko do baazū tasavvur karnā
sūraj āsmān ke kone ke saath laTkā huā thā
aur apnī shuā.eñ apne jism ke gird lapeT rakhī thiiñ
maiñ ne ḳhālī kamre meñ muāfī rakhī
aur merā siina dūsroñ ke darvāze par dhaḌaktā rahā
hum kis dukh se apne makan faroKHt karte hain
aur bhuk ke liye chyunTi-bhar aaTa KHaridte hain
hamein band kamron mein kyun piro diya gaya hai
ek din ki umr wale to abhi darwaza tak rahe hain
chaal lahu ki bund bund mang rahi hai
kisi ko churana ho to sab se pahle us ke qadam churao
tum chithDe par baiThe zaban pe phul ho
aur aawaz kor si kor
insan ka piyala samundar ke pyale se miTTi nikalta hai
miTTi ke sanp banata hai aur bhuk palta hai
tinke jab shuaon ki pyas na bujha sake to aag lagi
main ne aag ko dhoya aur dhup ko sukhaya
suraj jo din ka sina jala raha tha
aasmani rang se bhar diya
ab aasman ki jagah kora kaghaz bichha diya gaya
log mausam se dhoka khane lage
phir ek aadmi ko toD kar main ne suraj banaya
logon ki poren kuen mein bhar din
aur aasman ko dhaga kiya
kaenat ko nai karwaT nasib hui
logon ne inTon ke makan banana chhoD diye
aankhon ki zaban-daraazi rang lai
ab ek qadam pe din aur ek qadam pe raat hoti
haal jurat-e-guzishta hai
aa tere baalon se shuaon ke ilzam uTha lun
tum apni surat pahaD ki khoh mein ishaara kar aae
kund hawaon ka e'tiraf hai
safar eDi pe khaDa hua
samundar aur miTTi ne rona shurua kar diya hai
belche aur bazu ko do bazu tasawwur karna
suraj aasman ke kone ke sath laTka hua tha
aur apni shuaen apne jism ke gird lapeT rakhi thin
main ne KHali kamre mein muafi rakhi
aur mera sina dusron ke darwaze par dhaDakta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.